
Urdu / Hindi Broken Heart SMS messages & quotes collection

Hindi Broken Heart SMS Messages Collection
Yaadon ka ek jhoka aaya, Hamse milne barson baad
Pehle itna nahi roye, Jitna aaj roye barson baad
Lamha-lamha ghar ujda hai, Mushkil se ehsaas hua
Pathar aye the barso pehle, Dil tuta barson baad
Nigahein mila ke kiya dil ko jakhmi,
Adaaon se tum kya sitam dha rahi ho,
Waffaon ka kya khub badla diya hai,
Tadapta mujhe chor ke jaa rahi ho.
Har baar itefaak nahi ho gaye,
Bewajaah nahi unpe hum fida ho gaye,
Jinhe na chaha woh ho gaye khafa,
Aur jinhe chaha woh bewaffa ho gaye.
Kabhi arsh par kabhi farsh par
kabhi unke dur kabhi durbadar
ghamay aashiqi tera shukriya mai
kanha kahan sei guzar gaya
Gile kaagaz ki tarah hai zindagi apni,
Koi jalaata bhi nahi aur koi bahaata bhi nahi,
Is kadar akele ho gaye hai aapke jane ke baad,
Ke koi sataataa bhi nahi aur koi manata bhi nahi.
Kabhi arsh par kabhi farsh par,
kabhi unke dar kabhi darbadar,
ghamay aashiqi tera shukriya mai,
kanha kahan sei guzar gaya.
Kafan se kafan ko dafan karne waalon,
Khusi se kasam ko wehem karne waalon,
Sitam se sanam ka karam karne waalon,
Kantoon se jakham ka marhum karne waalon,
Tamanna thi mujhe bas teri saath ki phir,
Kyon dhokha diya aye rehem karne waalo!!
Jab koi apna kisi apno se rooth jayega,
Sheesa ho ya dil ho toot jayega,
Meri maut ki wajah ka jikra karna na kbhi tum,
Waffa ke naam se logon ka bharosha uth jayega.
Kitna pyaar karte hai hum unse,
Kaash unko bhi yeh ehsaas hojaye,
Magar aisa na hoke woh laut kar tab aaye,
Jab hum kisi aur ke hojaye.
Mere pyaar ko tum bhula toh na doge,
Kahi dost banke daga toh na doge,
Tumhe dekhne ko tarasta rahoon main,
Mohabbat mein aisi saja to na doge,
Kisi aur ka naam tum dil pe likhke,
Mera naam dil se mita to na doge.
Marna hai maro apne watan ke liye
Kyu marte ho ek raat ki dulhan ke liye
Yakeen na ho toh dil mein jhanko ek dafa
Kisi aashiq ki laash padi hai ek kafan ke liye
Mere halat wo samajh nahi paate
Hum bhi unse kuch keh nahi paate
Kuda ye kaisa pyaar dediya thune
Jisko yaad kiye bina hum
Saans bhi le nahi patee!
Yun khushi ko adhoora sa bana jaate hai ye aansoo
Dard itna hai saha, khaali ho gaya samandar ashkon ka
Jaane kahan se aankhon mein bhar jaate hai ye aansoo
Khush hoon main, koi shikwa zamane se na taqdeer se
Meri iss baat ko jhoota kyun bana jaate hai ye aansoo
Shayad khabar hai en ko bhi kis qadar tanha hoon main
Tanhaayi mein mera saath nibha jaate hai ye aansoo !!
Dilon se khelne ka hunar hume nahi aata,
Issi liye ishq ki baazi hum haar gaye!
Meri zindagi se shayad unhe bahut pyaar tha,
Issi liye mujhe zinda hi woh maar gaye!
Mehfil mein kuch to sunana padta hey,
Chupakar gam muskurana padta hey,
Kabhi unke hum bhi they dost,
Aajkal unhein yaad dilana padta hey.
Labo pe aaj unka naam aagaya,
Pyase k haath jaise jaam aagaya,
Kadam to gira unki baahon mein jaakar,
Aaj hamara peena hi hamare kaam aagaya.











