Hindi Sad SMS Messages Collection
Yaadon se rishta kal bhi tha yaadon se rishta aaj bhi hai
Dil kal bhi apna dukhta tha aur afsurdaa sa aaj bhi hai
Woh ishq jo hum tum karte thay woh ishq toh zinda ab bhi hai
Kal tak jo hijar satata tha uss hijar ka pehra aaj bhi hai
Tum door hue majboori mein hum toot gaye iss doori mein
Kabhi waqt mile toh aa jana dil ka darwaaza khula aaj bhi hai
Woh sahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde sahil par
Woh naam darakhtoon per likhna woh khwaab suhaana aaj bhi hai
Tum khush rehna dil ki duniya apni toh chalo barbaad hoi
Dil gham ka maara kal bhi tha aur gham ka maara aaj bhi hai
Yeh ashk nahi hai aankhon mein yeh taare jhilmil karte hai
In aankhon mein jo kal tak tha woh chaand sa chehra aaj bhi hai
Ab shikwa kisi se kya karna taqdeer mein jo likha tha mila
Gham kal bhi mera sarmaya tha gham mera warsa aaj bhi hai
Yaad karke humein bhula dena
Beetay jazbon ko phir hawa dena
Naa cher dhun koi purani ab
Hai tera kaam bus rula dena
Aaj phir bebasi ka alam hai
Koi hal uss ka bhi suna dena
Raat ka hai nasha ya yaad teri
Jhoomte dil ko kuch dua dena
Aye afsaana-e-mohabbat aaj
Shamma-e-shouq tu jala dena
Aayegi yaad teri phir se aaj
Yaro hum soain toh jaga dena






