Love SMS Messages Collection
My karta hu mohabbat aapse dil me anjam-e-fiza buland karke
Fikr hai to bas itni k dil tham na jaye apke ikhraar pe!
Mohabbat ke har arse me kiya tadapkar har lamha yaad apko
Fir bhi is wafa ke ba-as aapne bhula diya humko?
Aashiki me kiya aapka intezar maine ek arse ka
Duniya walon ke mutabiq woh arsa meri aashiki se meri maut tak tha!
Apne man ko mana liya maine,
Zindagi se nibha liya maine !
Ek khusboo si teri yaad aaye,
Ek pal muskara liya maine !
Pyaas tadpi to pee liya aansoo,
Bhukh me gam ko kha liya maine !
Dard ka geet ek tadapta sa,
Pyaar mein gunguna liya maine !
Mujhpe ilzam hai zamane ka,
Kyon tera dil chura liya maine !
Jab kabhi neend mujhse rooth gayi,
Chand ko ghar bula liya maine !
Kis tarah khusnaseeb hun mai bhi,
Tumko khwabon me paa liya maine !!
Bada kathin hai rasta jo aa sako toh sath do!
Ye zindagi ka fasla mita sako to sath do!!
Bade fareb khaoogi, bade sitam utaoogi!
Ye umar bhar ka sath hai nibha sako toh sath do!!
Jo tum kaho, ye dil toh kya, main jaan bhi fida karo!
Jo main kaho, bus ek nazar, luta sako toh sath do!!
Hazar imtehan yahan, hazar azmaeish!
Hazar dukh, hazar gham, utha sako toh sath do!!
Main ek gareeb be nava, main ek fakir be sada!
Meri nazar ki ilteja jo pa sako toh sath do!!
Ye zindagi yahan khushi gamoon ke sath sath hain!
Rula sako toh sath do, hansa sakho toh sath do!!






