Hum vo dard hain jo ankho se chalakte hain
Hum wo ishq hain jo dil bankar dhadakte hai, hum wo khushbo hain jo baho mein mehekte hain, humse pyar na karna e-zalim hum wo dard hain jo ankho se chalakte hain
Tumko dekha to
Tumko dekha to yeh khayal aaya, Dhoop ghani chaanv ho tum, Tum muskarye to muskra utha sama bhi, Aise jaise phool kali se khil jaye. Sonchenge phir karnge, yeh to koi baat nahin, Aray pyaar to ek se hota hai, Hazaaron se nahin. Bhoolbhoolaniyaan mein kya maza hai, Aamne saamne…
Kabhi to unko bhi hamara intezar hoga
Kab unki palkon se izhaar hoga, dil ke kisi kone mein hamare liye pyar hoga, guzar rahi hai raat unki yaad mein, kabhi to unko bhi hamara intezar hoga
Leke hum dusro ki hasi kya kare
Leke hum dusro ki hasi kya kare, Jo apni nahi woh khushi kya kare, Tanha jine se behatar hai mar jaye hum, Jab saath tum nahi toh zindagi jikar kya kare.
Apna samajte hain
Aap to manzil ko mushkil samajte hain hum aap ko manzil samajte hain, bada fark he apke or hamare nazariye mein aap hume sapna or hum aap ko apna samajte hain
Gamke samundar mein dubaya
Tumne mujhe rulaya, Gamke samundar mein dubaya, Sukun chain chin liya, Har ghari ruswa kiya, Tumhari gustakiyo ko har bar maaf kiya, Yakin karke mere dard ko siya, Mout se bhi barkar saja diya, Na jine diya, na marne diya, Srif barbar taklif diya.
Tere baad koi “BEWAFA” na lagey
Teri Dosti ne diya “SAKOON” itna, Ke tere baad koi “ACHA” na lagey, Tujhe karni hai “BEWAFAI” to is ada se kar, Ke tere baad koi “BEWAFA” na lagey.
Khud ko hi bewafa mana hai
Hamara toh dard se rishta purana hai, Isiliye aapke har gam ko apna mana hai, Kya kahe uss rab se ki woh the bewafa, Humne toh khud ko hi bewafa mana hai.
Sada hum cahenge khushi tumhari
Kiya hua agar tum hame mil na sake, Kiya hua ke tumhare dil mein aur koi bas gaya, Sada hum cahenge khushi tumhari, Marte marte bhi yeh kahenge sada khush raho yeh dua hai hamari.
Chehre se aankhe nahi hathti thi
Khubsurat itni thi woh ke chehre se aankhe nahi hathti thi, Dikhti thi kuch aur, aur dil se kuch or lagti thi, Kyun dil ki nahi suni kyun izhar nahi kiya, Khodia, phir pata chala ke woh bhi hum pe marti thi.
Tum toh bewafa ho
Zindagi mein mohabbat ka khumar kya hota hai, Dil se dilbar ka milaap kya hota hai, Tum toh bewafa ho tumhe kya pata, Ke pyaar ka haseen ahsaas kya hota hai?
Dikhawa hai yeh mahobaat
Kisi diljale ko koi apna banana kyun chahega, Bekar mein koi apna dil jalana kon chahega, Dikhawa hai yeh mahobaat warna, Pyaar mein mith jana kyun chahega?
Dil banane wale
Dil banane wale iss dil ko kaanch ka banaya hota, Isse todne wale ke haath par zakhm toh aaya hota, Jab bhi dekhte woh apne haath ko, Na chahkar bhi unhe hamara khayal toh aaya hota.
Chahat thi unke ishq mein fanna hone ki
Pyar wo hame bepana kar gaye, Fir zindagi mein hamko tanha kar gaye.. Chahat thi unke ishq mein fanna hone ki, Par woh lout kar aane ko bi mana kar gaye..
Lehro se milkar
Lehro se milkar na woh beh sake na hum, Ek duje ke dil mein na woh reh sake na hum, Jeet lete aasma ek din lekin, palkon ke khamoshi ko, Hoton se na woh keh sake na hum.
Na pooch meri sabr ki inteha
Na pooch meri sabr ki inteha kahan tak hai, Tu karle sitam jahan tak teri takat hai, Wafaa ki umeed jinhe hogi unhe hogi, Humein to dekhna hai tu bewafaa kahan tak hai.
Teri judai hi iska karan hai..
Teri mohabbat pe sakh kar ke Humne aapne aapko kamzor sabit kiya hai.. Maaf karde humein iss kahta pe Aakhir teri judai hi iska karan hai..
Tunein humein yun bahadia
Aaj unhe yaad karte karte ankhon se ansu agaye behete behete chehre pe ruk sa gaya, kehne laga hum uski agosh me dham todenge Jis k liye tunein humein yun bahadia
Dil ka dard tum samajh na sake
Dil ka dard tum samajh na sake, Humare dil ko yaaad kar na sake, Koi aur ho to baat samjh sakenge, Varna sakun dil ko dila na sakenge!
Meri bhi aapse judai hogi
Suna hai kisi gair ne ye khabar udai hogi, Ek din meri bhi aapse judai hogi, Badi shaan se rahenge hum apke dil main, Itne dino me kuch to jagah banai hogi!!
Zindagi bhi lagne lagi hai kam
Duniya ne diye hume itne gum ke Ek zindagi bhi lagne lagi hai kam Yun toh sauk hai todne ki uski bhon mein dum, Lekin kya kare phir bhi woh jalim Kahegi ke bewaafa hai hum.
Munasib nahi hai jeena
Zindagi kuchh adhuri si lage tere pyaar ke bina, Munasib nahi hai jeena mere liye tere saath ke bina, Chhodkar teri chahat..Parai lage dunia saari, Is dil ne seekha nahi dhadakna teri yaad ke bina.
Ye aansu na hote
Jo na hoti mohabbat ye aansu na hote, Dil bhi na khota aaj tanha na rota, Diwano si apni ye halat na hoti, Agar jahan mein kambakhat, Kaash ye mohabbat na hoti.
Bewafai ka mahool hota hai
Bada afsoos hota hai jab aapka zikra hota hai Toh bewafai ka mahool hota hai.. Jaanta hun aap bewafa nahi ho magar Dard toh iss dil ko hota hai..
Pyaar ki seema
Kehte hai pyaar ki seema nahi hoti, Yeh toh dhoka hai jo sab kehte hai, Pyaar ki seema honi chaiye, Taki koi dil kisi aur dil ka na ho jaye.
Kash pyaar ka insurance ho jata
Kash PYAAR ka insurance ho jata Pyaar karne se pahle premium bharwaya jata, Pyaar me wafa mili to thik, Warna bewafao pe jo kharcha hota, Uska claim to mil jata.
Hum bhi wahi dil bhi wahi
Taraste they jo milne ko kabhi, Aaj wo kyon mere saaye se katrate hain. Hum bhi wahi dil bhi wahi, Na jane kyon log badal jate hai….!!!!
Phir yaad aati hai uss bewafa
Najane kyun yeh dil itna dukhta hai, Aankhon mein hai aansu magar kyun nahi yeh behta, Kaap utthi hai rooh jab naam unka leta hai koi, Aur phir yaad aati hai uss bewafa ki jo dhadkta tha kabhi.
Na thi jisko mere pyaar ki kadar
Naam uska likhkar mita raha tha main, Dil ko apne yun apne jala raha tha main, Na thi jisko mere pyaar ki kadar, Iktefaq se ussi ko chah raha tha main, Ussi diye ne jalaya mere lahu ko, Jisko hawa se bacha raha tha main.
Bina batae bewafai mat karna
Kabhi kisi se zikre-judai mat karna, Is dost se kabhi ruswayi mat karna, Jab dil uth jaye hamari dosti se to bata dena, Bina batae bewafai mat karna.