Munasib nahi hai jeena
Zindagi kuchh adhuri si lage tere pyaar ke bina, Munasib nahi hai jeena mere liye tere saath ke bina, Chhodkar teri chahat..Parai lage dunia saari, Is dil ne seekha nahi dhadakna teri yaad ke bina.
Ye aansu na hote
Jo na hoti mohabbat ye aansu na hote, Dil bhi na khota aaj tanha na rota, Diwano si apni ye halat na hoti, Agar jahan mein kambakhat, Kaash ye mohabbat na hoti.
Bewafai ka mahool hota hai
Bada afsoos hota hai jab aapka zikra hota hai Toh bewafai ka mahool hota hai.. Jaanta hun aap bewafa nahi ho magar Dard toh iss dil ko hota hai..
Pyaar ki seema
Kehte hai pyaar ki seema nahi hoti, Yeh toh dhoka hai jo sab kehte hai, Pyaar ki seema honi chaiye, Taki koi dil kisi aur dil ka na ho jaye.
Kash pyaar ka insurance ho jata
Kash PYAAR ka insurance ho jata Pyaar karne se pahle premium bharwaya jata, Pyaar me wafa mili to thik, Warna bewafao pe jo kharcha hota, Uska claim to mil jata.
Hum bhi wahi dil bhi wahi
Taraste they jo milne ko kabhi, Aaj wo kyon mere saaye se katrate hain. Hum bhi wahi dil bhi wahi, Na jane kyon log badal jate hai….!!!!
Phir yaad aati hai uss bewafa
Najane kyun yeh dil itna dukhta hai, Aankhon mein hai aansu magar kyun nahi yeh behta, Kaap utthi hai rooh jab naam unka leta hai koi, Aur phir yaad aati hai uss bewafa ki jo dhadkta tha kabhi.
Na thi jisko mere pyaar ki kadar
Naam uska likhkar mita raha tha main, Dil ko apne yun apne jala raha tha main, Na thi jisko mere pyaar ki kadar, Iktefaq se ussi ko chah raha tha main, Ussi diye ne jalaya mere lahu ko, Jisko hawa se bacha raha tha main.
Bina batae bewafai mat karna
Kabhi kisi se zikre-judai mat karna, Is dost se kabhi ruswayi mat karna, Jab dil uth jaye hamari dosti se to bata dena, Bina batae bewafai mat karna.
Dil shishe ka banaya hota
Kash ke banane wale ne ye dil SHISHE ka banaya hota, Taki isse todne wale ke haath mein bhi jakham toh aaya hota.
Bewafae bhi wafa lagne lagi
Isstarah se nibhaie hai bewafae aapne Ke appki bewafae bhi hume wafa lagne lagi.
Bewafa sanam
Kaliyon ke khusboo mein tumhare saanso ko dhoond rahein hai, Barsat ke boondo ko sagar mein dhoond rahein hai, Kuch is tarah bewafa sanam mein pyaar dhoond rahei hai.
Aadat si pad gai hai udas rahne ki
Kisi ki aashao ke sahare jine mein kya rakha hai, Kisi ko darde dil sunane mein kya rakha hai, Ab toh aadat si pad gai hai udas rahne ki, Varna udas rahne mein kya rakha hai.
Jinke liye hum mar mite
Na socha tha jinke liye hum mar mite, Ek din vahi humse door ho jayegea, Jine ki tamanna toh hum bhi rakhte thay, Ab Tere bina kaise ji payege.
Zindagi bhar ki judai
Mohabbat toh har koi karte hai, Phir kyu haatho ki lakiro mein uski naam nahi hoti hai, Irade toh har ashiq ki neek hai, Phir kyu zindagi bhar ki judai ki saza milti hai.
Aise umeed na kiya karo
Hawa main diya lagakar na bujhne ki umeed mat kiya karo Bujh jayegi diya sahi jagha ki talash kiya karo Bina bataye, bina jataye koi maan ki dard jane Aise umeed na kiya karo Khud talasho vaise humdard ko Kisi aash pe na baitha karo.
Bhoolna tum ko hamarey liye namumkin hai
Chahoo jo meri khataoon ki saza do mujh ko Per khata kya hai zara itna bata do mujh ko Mainey chaha tha tumhein aisey tu aakhir kyun kar In wafaoon ke siley aisi wafa do mujh ko Bhoolna tum ko hamarey liye namumkin hai Jo ho sakey toh sanam tum…
Karte hai jindagi ki tamana
Kabhi karte hai jindagi ki tamana, Kabhi mout ka intezar karte hai, Woh humse kyu door rehte hai, Jineh hum jindagi se bhi zyada pyaar karte hai!
Phoolon se bhi jakhm khaye hai
Tum gairon ki baat karte ho, Humne toh apne ko bhi aajmaye hai, Log kaanto se bach ke chalte hai, Humne toh phoolon se bhi jakhm khaye hai.
Aankhein muskurati hai
Waqt ne iss qadar uss gam ko bhi bhula diya, Jab main jita tha har roz sirf ghut ghut kar, Meri tanhai meri haqiqat ko bayan karti hai, Aaj bhi aankhein muskurati hai toh bas nam ho kar.
Ehsaas bhi na hoga unko
Main zinda hoon yeh ehsaas bhi na hoga unko, Nikala gaya hoon mar ke apne ghar se hi thodar, Jine ki chahat na thi par gham bhi gawara na tha, Har taraf mushkilein thi koi apna sahara na tha.
Pheri tune nazre pagal mujhe bana ke
Dil per di meri dastak nazro ne teri aankhe Fir pheri tune nazre pagal mujhe bana ke Isme khata kya teri futi thi meri aankhe Sapne ko sach jo samjha betha hu dil jalaa ke
Duniya ka dastoor hai bewafai karna
Chain se rehna hai duniya mein toh kuch socha na kar Apni kismat se kabhi koi gila ya shikwa na kar Yaad rakhna mout ki tizarat ko zindagi nahi kahte Insaan ke dushaman ko insaan nahi kahte Sanpo se sanp lipte rahenge pyaar se magar Insan ko insan das lenge…
Hazaro kushiyan kam hai
Ek phool kafi hai kabar par chadhane ko, Hazaron phool kam hai doli sajane ko, Hazaro kushiyan kam hai ek gam bhulane ko, Aur ek gam kafi hai zindagi bhar rulane ko.
Dard mein jo kaam aaye
Kahte kabhi jo log yun hi, ki ab woh zamana nahi, Dard mein jo kaam aaye, ab aisi dosti hai hi nahi, Rakha nahi ittefaq, unki en baato se hamne kabhi, Par aaj yeh ehsaas hai ki, sach hi kahte hai sabhi, Likhte hai apne dard ko, jo shayari bana…
Dua hai khuda se
Bhula kar hamein wo khush reh payenge, Sath mein nahi to mere jane k baad muskurayege, Dua hai khuda se ki unhe kabhi dard na dena, Hum to sahaingaye par wo toot jayenge.
Apnakar tanha chhod diya
Jis shaks se humne rishta banaya, Ussi ne apnakar tanha chhod diya, Ke ab hum keh sakte hai, Jab bhi humne khushi ki hawa khayi, Dukh ke din samne aa gaye.
Gham chupana padta hai
Iss bedard zamaane se har gham chupana padta hai, Zakhm hazaaron ho dil pe phir bhi muskurana padta hai, Dekh kar yeh badon ki duniya mere dil ke kone mein, Ek chota sa bachcha bada hone se darta hai, Aisa lagta hai ki har imtihaan ko hamara hi pata de…
Pani mein bhi aag lagakar aaye hai
Aaj ham unhe bewafa batakar aaye hai Unke khaton ko pani mein baha kar aaye hai Koi nikal kar padh na le unhe Issliye pani mein bhi aag lagakar aaye hai…
Chaand badlo me kho gaya
Dil ke aangan se chaand ka didar ho gaya, Mai uska deewana ho gaya, Chaand badlo me kho gaya, Maine badal hatne ka intezaar kiya, Tab tak chaand kisi aur ka ho gaya.