ghazal-sms

Zikr ulfat per natija ye hua taqreer ka

    Zikr ulfat per natija ye hua taqreer ka
    Mein bhi chup hun,woh bhi chup aalm hai ek tasveer ka
    Aate aate ruk gaya hai dam jo mujh dilgeer ka
    Aah bhar ker muntazir hun ,aah ki taseer ka
    Zulf-e-laila-e-shab-e-gham hoti jati hai daraaz
    Aur e dil kya asar ho naala-e-shab geer ka
    Tor ker pahlu ko nikla hai khadang naaz yun
    Dil nahin ek doosra paikaan hai goya teer ka
    Saaf baatin hain,hamara raaz-e-ulfat kya chupe
    Dil mein aalm hai yahan aaina-e-tasveer ka
    Subh tak dekhen dil-e-mahjoor ka kya haal ho
    Qasd hai phir aaj mashq-e-naala-e-shab geer ka
    Shama hai bazm-e-jahan mein kya adab-e-aamoz-e-ishq
    Lab pe shikwa tak nahin be-rehmi-e-gul geer ka
    Maut se kya saaz ker rakha hai us ne e nazar
    Muddatein guzrin sabab khulta nahin takheer ka…!!!!

    Zikr ulfat per natija ye hua taqreer ka Mein bhi chup hun,woh bhi chup aalm hai ek tasveer ka Aate aate ruk gaya hai dam jo mujh dilgeer ka Aah bhar ker muntazir hun ,aah ki taseer ka Zulf-e-laila-e-shab-e-gham hoti jati hai daraaz Aur e dil kya asar ho naala-e-shab…