love-sms

Mohabbat Thair Jaati Hai

    Mohabbat Thair Jaati Hai
    Hum aksar yeh samajhtay hain
    Jisay hum piyaar kartay hain
    Usay hum bhool baithay hain
    Magar aisa nahin hota
    Mohabbat daimi such hai
    Mohabbat thair jaati hai !!!

    Hamari baat kay andar
    Mohabbat baith jaati hai
    Hamari zaat kay andar
    Magar yeh kam nahin hoti
    Kisi bhi dukh ki soorat mein
    Kabhi koi zaroorat mein
    Kabhi anjaan se gham mein
    Kabhi lehjay ki thandak mein
    Udaasi ki zaroorat mein
    Kabhi baarish ki soorat mein
    Hamari aankh kay andar
    Kabhi aab-e-rawan ban kar
    Kabhi qatray ki soorat mein
    Bazahir aisa lagta hai
    Usay hum bhool baithay hain
    Magar aisa nahi hota
    Mohabbat Thair Jati Hai
    Mohabbat Kam Nahe Hoti

    Mohabbat Thair Jaati Hai Hum aksar yeh samajhtay hain Jisay hum piyaar kartay hain Usay hum bhool baithay hain Magar aisa nahin hota Mohabbat daimi such hai Mohabbat thair jaati hai !!! Hamari baat kay andar Mohabbat baith jaati hai Hamari zaat kay andar Magar yeh kam nahin hoti Kisi…