hindi-poetry-sms

Khuda se kya maangu tere vaaste

    Khuda se kya maangu tere vaaste
    Sada khushiyon se bhare ho tere raaste
    Hansi tere chehre pe rahe is tarah
    Khushboo phool ka saath nibhati hai jis tarah

    Sukh itna mile ki tu dukh ko tarse
    Paisa shohrat izzat raat din barse
    Aasma ho ya zameen har taraf tera naam ho
    Mehkti hui subah aur lehlahati shaam ho

    Teri koshish ko kamyaabi ki aadat ho jaye
    Sara jag tham jaye tu jab bhi gaye
    Kabhi koi pareshani tujhe na sataye
    Raat ke andhere mein bhi tu sada chamchamaye

    Dua yeh meri kubool ho jaye
    Khushiyan tere dar se na jaye
    Ek choti si arzi hai maan lena
    Hum bhi tere dost hain ye jaan lena

    Khushiyon me chahe hum yaad aye na aye
    Par jab bhi zarurat pade hamara naam lena
    Is jahan me honge to zaroor ayenge.

    Khuda se kya maangu tere vaaste Sada khushiyon se bhare ho tere raaste Hansi tere chehre pe rahe is tarah Khushboo phool ka saath nibhati hai jis tarah Sukh itna mile ki tu dukh ko tarse Paisa shohrat izzat raat din barse Aasma ho ya zameen har taraf tera naam…