poetry-sms

Mujh ko pukara hoga

    Apne bistar mein buhat der se mein neem-daraz
    Sochti thi ke woh iss waqt kaha par hoga

    Mein yahan hoon magar uss kocha-e-rango-bo mein
    Roz ki tarah woh aaj bhi aaya hoga

    Aur jab ussne waha mujh ko na paya hoga
    App ko ilm hai woh aaj nahi aayi hain

    Meri har dost se ussne yehi pocha hoga
    Kyon nahi aayi woh-kya baat hui hai akhir

    Khud se iss baat pe so bar woh uljha hoga
    Kal woh aaye gi toh main uss se nahi bolonga

    App hi app kai bar woh rotha hoga
    Woh nahi hai toh bulandi ka safar kitna kathin

    Serrian charhate hue uss ne yeh socha hoga
    Rahdari mein, hare lawn mein, pholon ke kareeb

    Uss ne har simt mujhe an ke dhonda hoga
    Naam bhole se jo mera kahin aaya hoga

    Ger-mahsoos tareeqe se woh chonka hoga
    Eik hi gumle ko kai bar sunaya hoga

    Baat karte hue so bar woh bhola hoga
    Yeh jo larki nai ayii hai kahin woh toh nahi

    Us ne ar chahra yehi soch k dekha hoga
    Jan-e-mehfil hai ,magar aj,faqad mere bagair

    Haye!Kis darja wohi bazm mein tanha hoga
    Kabhi sanataon se wehshat jo hwi ho gi use

    Us ne be-saktha phir mujh ko pukara hoga
    Chalte -chalte koi manoos se ahat pa kar

    Doston ko bhi kisi uzr se ruka hoga
    Yaad kar ke mujhe naam ho gayi hogi palken

    Aankh mein kuch par gaya keh ke yeh tala hoga
    Aur ghabra ke kitabon mein jo li ho gi panah

    Har satar mein mera chehra ubhar aaya hoga
    Jab mili ko use meru alalat ki khabar

    Us ne ahista se dewaar ko thama hoga
    Soch kar yeh ke behal jaye pareshan-e-dil

    Yuhin bewaja kisi shaks ko roka hoga
    Itafaqan mujhe uss shaam meri dost mili

    Apne bistar mein buhat der se mein neem-daraz Sochti thi ke woh iss waqt kaha par hoga Mein yahan hoon magar uss kocha-e-rango-bo mein Roz ki tarah woh aaj bhi aaya hoga Aur jab ussne waha mujh ko na paya hoga App ko ilm hai woh aaj nahi aayi hain…

    Apne bistar mein buhat der se mein neem-daraz Sochti thi ke woh iss waqt kaha par hoga Mein yahan hoon magar uss kocha-e-rango-bo mein Roz ki tarah woh aaj bhi aaya hoga Aur jab ussne waha mujh ko na paya hoga App ko ilm hai woh aaj nahi aayi hain…