Kya tum bhi…
Kya tum bhi meri terha chalti hawaon ko
Choney ki koshish kartey ho
In fizaon mein jesey main
Tumhari mehak mehsos karti hoon
Weseyhi mujhko kya tum bhi
Apney gird youn patey ho
Kya tum bhi shabb ki tanhai mein
Meri tarah jagte rehtey ho
Aur jesey main tumhari yaad ke diye se
Roshni bakhairti rehti hoon
Ussi terah kya tum bhi
Apney andheron ko roshan kartey ho
Kya tum bhi chatt pe ja ke
Aftab ko pehroon taktey ho
Yeh sochtey ho kya meri terha
Ke aaj tumharey haan bhi chand nikla hoga
Chand kya tumhey bhi kya
Kuch kuch mujhsa dikhta hai
Jesey tum mujhko falak ka
Woh pyara chanda lagtey ho
Kya tumhari aankhein bhi ekdam
Kisi ek khayal se chamak uthti hain
Aur tum bhi akeley kharey muskatey ho
Kehti hain sabhi sahelian meri mujhe
Meri yeh aankhain tak ke
Main soi nahi kuch raaton se
Tumhare dost bhi kya tumko
Aisa hi kuch kehtey hain
Kya tumhara dil bhi har pal
Bechain tarapta rehta hai
Tum bhi kya agli molaqat tak
Har pal gharian gintey rehtey ho
Sabbar tumse bhi kya nahi hota
Inteezar meri terah kya tumko bhi
Mushkil aur kathin sa lagta hai
Kya tanha rah mein chalte chalte
Tumhare kadam bhi rokte hain
Tum bhi kya yeh sochte ho
Ke meri aur tumhari rahain
Kabh honge ek
Jabh tum hoge humsafar mere
Aur haathon mein hardam honge haath
Raston per chalte aise khayal
Aate hai kya tumko bhi
Kya tum bhi behayalli mein
Naam mera dohratey ho
Kya tumhara mann bhi mujhko
Pukarta hai bolata hai
Jesey mera mann tumhe sadain daita hey
Kagaz pe kya tum bhi meri terah
Apna aur mera naam likhte rehte ho
Kya tum bhi apne hathon mein mujhe
Dhondte ho talash karte ho
Muqaddar apna meri terah kya tum bhi
Sirf mujhko hi mante ho
Apni aankhon mein kya tum bhi
Meri hi tasveer bas paate ho
Har shaks jese mujhko tumsa dikhta hai
Tumhe bhi kya in logon mein
Main hi main sirf dikhti hoon
Kya tum meri aawaz soon kar ghabratey ho
Jesey main tumhe soon kar sharmati hoon
Tumhari ek ek aahat par
Dil taiz taiz dharakta hai
Kya mujhko aata dekh kar
Tumhari sansain bhi barti hain
Kya tumhey bhi koi aur nahi bhata
Mera hi kheayal tumhe kya sirf aata hai
In phoolon mein en kalliyon mein
In rangbarange haseen nazaron mein
Jese mujhe tumhari jhalak dikhti hai
Mujhe un main kya tum bhi patey ho
Kya tum bhi younhi bethe bethe
Khwabon ki duniya mein kho jate ho
Khuli aankhon se mein tu aey dost
Tumhare sapne dekhti hoon
Tum bhi kya meri duniya
Basate aur sawarte ho
Kya tum bhi aisi shairana baatein karte ho
Kya tumhe bhi pyaar mohabbat ke afsane
Sabh sache ache lagte hai
Kya tumhey meri yeh sabh baatein
Karna achi lagti hai
Kya tumhey mera pyaar sacha lagta hai
Kya tum doge jawab mere sawalon ka
Kya tum mujhe sabh sach sach batlaoge
Kya tumhe tumhari aafi
Kuch deewani pagal lagti hai
Related posts:
- Ek SMS yaar!
- Chupa hua koi raaz hai
- Jab raat aati hai
- Tumhe pane ki koshish ki hai
- Har ilzam woh hum pe laga jate hai
- Hum khud ko bhul jate
- Bahut Dino se thi aasman ki sajish
- Aapki baat ka hai
- Hum jaye kaha
- Hum aapke bin reh nahi sakte
- Kabhi toh zindagi se pyaar hoga
- Dil mein dharkan ki tarah basana mujh ko
- Humne ki mohabbat toh haal hua aisa
- shayari kaise likhe jati he
- Jiss diye mein jaan hogi
- Milte nahi zameen asman
- AAj Bhi Mile To
- Dard-e-dil ki dastaan
- Mohabbat Ab B Baqi Hai…
- with my sweet hope
Kya tum bhi meri terha chalti hawaon ko Choney ki koshish kartey ho In fizaon mein jesey main Tumhari mehak mehsos karti hoon Weseyhi mujhko kya tum bhi Apney gird youn patey ho Kya tum bhi shabb ki tanhai mein Meri tarah jagte rehtey ho Aur jesey main tumhari yaad…
Kya tum bhi meri terha chalti hawaon ko Choney ki koshish kartey ho In fizaon mein jesey main Tumhari mehak mehsos karti hoon Weseyhi mujhko kya tum bhi Apney gird youn patey ho Kya tum bhi shabb ki tanhai mein Meri tarah jagte rehtey ho Aur jesey main tumhari yaad…