• Mere saath bewafaayi na hoti

    Khuda ne kaash mohabbat banaayi na hoti Toh aaj iss tarah hamare pyaar ki rusvaayi na hoti Kaash unke dil mein zara si wafa hoti Toh iss tarah mere saath bewafaayi na hoti

  • Apna samajh baithe

    Nadaani mein hum kisse apna samajh baithe Jo dikhaaya uss bewafa ne sapna hum haqeeqat samajh baithe Dekho aaj chod diya hamein usne ek gair ke liye Jisse hum apna humsafar samajh beithe

  • Apni aankhon ke samunder mein uttar jane de

    Apni aankhon ke samunder mein uttar jane de, Tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jane de, Zakham kitne teri chahat se mile hain mujhko, Sonchta hoon kahoon tujhse, magar jaane de…

  • Dijlale se pyaar hai tumhe

    Kyun banati ho tum ret ke mahal, Jise khud hi tod dalogi tum, Aaj kehti ho iss dijlale se pyaar hai tumhe, Kal toh mera naam tak bhul jaogi tum.

  • Pyaar kehti hai duniya jise

    Ek pal mein jo aakar gujar jaaye, Yeh hawa ka woh jhoka hai aur kuch nahi, Pyaar kehti hai duniya jise, Ek rangeen dhokha hai .. aur kuch nahi

  • Daag ansuon se dhoye hain

    Daag ansuon se dhoye hain, Jab bhi tanha huye hain roye hain, Dil mein kyonkar na uge yaad teri, Dil mein tere hi khawab boye hain.

  • Aur tujhme hai kuch khash

    Kyun sataate ho hame begano ki tarah, Kabhi toh chaho chane walo ki tarah, Hum mein hai kuch kami jo tum hame ho tadpate, Aur tujhme hai kuch khash Jo hum tumhe bhulna nahi chahte…

  • Ye dil do kisi nek ko

    Ye dil do kisi nek ko, do magar kisi ek ko, yeh dil hai, koi shishe ka tukda nahi, jo bech do har ek ko.

  • Waffa ka naam mat lo yaaro

    Waffa ka naam mat lo yaaro Waffa dil ko dukhati hai Waffa ka naam lene se Humme ek bewaffa ki yaad aati hai

  • She touched my soul

    I loved her from my heart, She touched my soul n shake my heart, I found her mine, but that wasn’t true, I cried all night but she never dew, Was it wrong to express my love? Was it the same reason she left?

  • Roj hum nashe mein hote hai

    Roj hum nashe mein hote hai, Aur raat gujar jaati hai, Ek din raat nashe mein hogi, Aur hum gujar jayange, Sayad tabhi yaad tumhe ayenge.

  • Sapno se dil lagane ki aadat nahi rahi…

    Sapno se dil lagane ki aadat nahi rahi… Har waqt muskurane ki aadat nahi rahi… Ye soch ke ki koi manaane nahi aayega… Ab hume rooth jaane ki aadat nahi rahi…

  • Pass aakar sab hi door chaly jaty hain

    Pass aakar sab hi door chaly jaty hain Akaily thay hum akaily reh jaty hain Is dil ka dard dikhayen kisy? Marham lagany wale hi zakhm dai jaty hain

  • Tadap ke dekho

    Tadap ke dekho kisi ki chahat mein , To pata chale intazar kya hota hai, Yuhi mil jaye koi bina pata, To kaise pata chalega ki pyaar kya hota hai.

  • Kuch to dard hai

    Kuch to baat hai jo aap hamse kahe nahi sakte, Kuch to dard hai jo ap sahai nahi sakte, Hamein itna dur kar diya, Jo ye bate hamse kar bhi nahi sakte.

  • Mohabbat se kya umeed hoti hai

    Mohabbat se hamain kya umeed hoti hai, Mohabbat to beumeed hoti hai, Chahate hai jine hum jaan se bhi zyada, Bewafai unhi se to naseeb hoti hai.

  • Har dil rota hai

    Judai mein har dil rota hai, Milne ke har aas mein jalata hai, Pyaar mein kabhi koi juda nahi hota, Woh to hoti hai majburiyan , Ki unko saccha pyaar nahi hota.

  • Har mulakat ka anjam judai

    Zindgi jab bhi teri bahon mein lati hai hamein, Yeh zaami chand se behtar nazar aati hai hamein, Har mulakat ka anjam judai kyon hai, Aab to har waqt yahi baat satati hai hamein.

  • Apnay pyaar per naaz hota hai

    Har dharkan mein ek raaz hota hai, Baat ko batane ka ek andaaz hota hai, Jab tak thokar na lage bewafai ki, Har kisi ko apnay pyaar per naaz hota hai.

  • Zindagi bhar ke saath

    Pyaar karnewale anjaam nahi sochate hai, Aankhein band karke bharosa kar lete hai, Zindagi bhar ke saath ki umeed laga lete hai, Par phir bhi kabhi pyaar mein dil tut jaaye toh, Apne yaar se shikayat nahi karte hai.

  • Aankhon mein jhaank kar dekhieya

    Zubaan hai sirf ek zariya nahi, Jo aap shabdon ko samajh payeinge , Kabhi aankhon mein jhaank kar dekhieya, Hazaroon alfaaz khud ba khud bekhar jayeinge.

  • Bataa na bhi muskil

    Kaun jaanta hain kis ke dil ka haal, Bataa na bhi muskil hain, Aankho ko samajh paana bhi muskil hain, Kisi ek ke bin reh paana bhi muskil hain, Kisi pe aitwar kar paana bhi muskil hain.

  • Unki tamanna karenge puri

    Agar milega waqt to bataenge unko, Unke diye zakhm bhi dikhaenge unko, Unki yeh bhi tamanna karenge puri ek din, Jab niklegi aakhri saans bhool jayenge unko.

  • Deedar ko tarasti hain

    Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain, Meri har aah har dard samajhti hain. Pata hai majbur hai tu bhi, Phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain.

  • Ham pe shaq hain

    Maut se daar nahi lagta mujhko Tujh se judaai ka daar hain Kisi aur ka haq nahi mujh pe Sirf tujhe haq hain Punch lo apni dhadkano se Kitna pyaar hain aapse Aur aapko ham pe shaq hain.

  • Maat pucho kya gujarti hai

    Mohabbat mein laakho zakhm khaye humne Afsos unhe humpar aitbar nahi Maat pucho kya gujarti hai dil par Jab woh kehte hai humein tumse pyaar nahi.

  • Utha ke le gaya koi

    Kabar ki mitti utha ke le gaya koi, Issi bahane humein choo kar chala gaya koi, Tanhayi aur andhere mein khush they hum, Lekin phir se intezaar karne ki wajah de gaya koi.

  • Kya umeed hoti hai

    Mohabbat se hamain kya umeed hoti hai, Mohabbat to beumeed hoti hai, Chahate hai jine hum jaan se bhi zyada, Bewafai unhi se to naseeb hoti hai.

  • Jaha teri kami hogi

    Zuban khamosh, ankhon mein nami hogi, Yahi bas ek dastan-e-zindagi hogi, Bharne ko to har zakham bhar jayega, Kaise bharegi woh jagah jaha teri kami hogi.

  • Na zane kaise

    Zindagi lehar thi aap shail hue, Na zane kaise hum se bhool hue, Aur hum aapki dosti ke kabil na hue, Na bhulenge hum uss haseen pal ko, Jab aap hamari choti se duniya mein shamil hue.