Wafa k saath nibhayenge
Teri bewafai ko us wafa k saath nibhayenge, K teri ankhon say bhi aansoo nikal jayenge, Yeh wada hai k hum tujhe us mod tak layenge, Jahan hum apna dard teri aankhon say chalka kay dekhayenge.
Yaad mein teri aansoo bahate hai koyi
Yaad mein teri aansoo bahate hai kuy Har saans ke sath tujhe yaad karte hai kuy Mout to sach hai aani hai Lekin teri judayi mein har roz marte hai kuy
Abhi se yaad karna chhod diya
Itna jaldi daaman chod diya, Itna chaldi vaada tod diya, Abhi to zindagi ka sansein hai baaki, Aur aapne abhi se YAAD karna chhod diya
Pyaar ke jaam ko aise na piya
Pyaar ke jaam ko aise na piya, Ki aadha piya aur adha chhod diya, Yaaron ye pyaar hai pyaar, Nahi koi VIM BAR, Jo thoda sa lagaya aur bas ho gaya.
Umeed ki thi maine khushiyan ki
Umeed ki thi maine khushiyan ki Ab toh woh kashtiyan bhi doob chuki hai Har koi lagne laga hai paraya Mujhse juda hochuka mera hi saaya
Hogaya kitna paraya apna hi dil
Hansi ke peeche hazaaron aansoo chhupate chale Dil main ghum ka dariya sambhaalte huey Na koi raasta… Na koi manzil Hogaya kitna paraya apna hi dil
Darte hai hum ab khwaabon se
Darte hai hum ab khwaabon se Kahin phirse umeed na laga bhete apno se Ab toh tanhayi hi apni mehfil hai Ye soch ke har pal ko jiye jaa rahe hai
Pyaar kya hota hai hum nahi jante
Pyaar kya hota hai hum nahi jante, Zindagi ko apna hum nahi mante, Gum itne mile hain k ab ehsas nahi hota, Pyaar kare koi to vishwas nahi hota!
Pal do pal sath guzar lo
Lamha lamha waqt guzar jayega, Rooh ka daman bhi sath chod jayega, Abhi waqt hai pal do pal sath guzar lo, Kal kya pata kon kiski jindgi se chala jayega.
Hamari kamzori
Aapki muskan hamari kamzori hai, Keh na pana humari majboori hai, Aap kyun nahi samajhte is khamoshi ko, Kya khamoshi ko bhi zuban dena zaroori hai.
Aansu na hote ankhon mein
Jo aansu na hote ankhon mein, To ankhen itni khobsurat na hoti, Jo dard na hota dil mein, To khushi ki kimat pata na hoti, Jo bewfayee na ki hoti waqt ne, To judai main jine ki aadat na hoti.
Ye mulaqat guzar jati hai
Kitni jaldi ye mulaqat guzar jati hai, Pyaas bujhti nahi barsat guzar jati hai, Apni yadoon se keh du na aya karein, Neend atti nahi aur raat guzar jati hai.
Itna pyaar kyon hai
Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai, Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai, Use pana nahi meri taqdeer mein shayad, Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai.
Jab hum bahot dur chale jayenge
Kabhi na kabhi to baharon ke phool murjha jayenge, Bhule bhi kabhie hum tumhe yaad aayenge, Ehsaas hoga tumhe meri dosti ka jab hum bahot dur chale jayenge
Koi samajh na paya
Mere pyaar ko duniya mein koi samajh na paya, Rote thay jab tanha koi mere saath na aaya, Mita diya khud ko unke liye pyaar mein, Aur wo kehte hai ki mujhe pyaar karna na aaya.
Pe hai sharab har gali har dukan se
Pe hai sharab har gali har dukan se, Ek Dosti si ho gai har sharab k jaam se, Guzre hain kuch aise makam se, K nafrat si ho gai hai mohabbat k naam se.
Unka pyaar basa tha
Jin aankhon mein unka pyaar basa tha, Aaj unhi ke liye baraste dekha hai, Kabhi unke sath har pal guzara tha, Aaj unke liye khudko taraste dekha hai.
Wah kya gazal likh di
Kagaz pe humne zindagi likh di, ashkon se seench har khushi likh di, dard jab humne ubhara lafzo pe, logo ne kaha wah kya gazal likh di
Tumare sath reh nahi sakti
Tumare sath reh nahi sakti, Tume khokar ji nahi sakti, Ye kaisa pyaar hain mera, Kisiko chahakar pa nahi sakti.
Aek thaka hua ansoo
Taptey sehraa main karaktey dhoop main Main nikal parey tujhey dhondhney ko Per marey hath kya ayea Sadion ke tanhaye aur Aek thaka hua ansoo
Aapki muskan hamari kamjori hai
Aapki muskan hamari kamjori hai, Keh na pana hamari majburi hai, Aap kyon nahin samajhte is khamoshi ko, Kya khamoshi ko zuban dena jaruri hai?
Is zindagi ne diya hai hume hazar dukh
Is zindagi ne diya hai hume hazar dukh Pyar jab jab kiya pyar ne dhoka diya hazar baar Aaj bhi dil dhadakta hai humara Dar lagta us hawa k jhonka se jo apne sath khushian lati hai
Bas itna hi tha sath aapka mera
Har din woh aapki meri mulaqat, Har roz hasna ruthna aapka, Gaye woh din milne ke aapko, Gaye woh din manane hasane k aapko, Bas itna hi tha sath aapka mera, Yahi soch ke haste apni kismat par
Khushion ki jagah nahin
Aap aaye zindagi mein humare farishta bankar, Khushiyan bhi hazar di hai aapne… Achanak kya baat hogayi, kyun aap aur hum dur hogaye? Shayad hamare naseeb mein khushion ki jagah nahin
Log puchte hai main…
Hakikat na puch mere fasane ki, Tere jate hee badal gaye nazar zamane ki, Log puchte hai main khush kyo nahi, Kaya kahu meri to aadat thi tere sang muskurane ki.
Nazar lag gayi mere pyar ko
Mili hai bahut saza unse dil lagane ki, Nazar lag gayi mere pyar ko jamane ki, Mar kar bhi kabr se nikle rahe dono haath Kyonki aarzo reh gayi unhe gale lagane ki
Manzil na koi
Manzil na koi, Thikana bhi nahi hai, Wapas mujhe ghar jana bhi nai hai, Maine hi sikhaya tha usse teer chalana, Ab mere siwa uska koi nishana bhi nai hai.
Bikhre aashkon ke moti bana na sake
Bikhre aashkon ke moti bana na sake, Teri yaad mein sari raat so na sake, Bheeg na jaye aasoo mein tasvir teri, Bas yehi soch kar hum ro na sake.
Chala jaaoon ga main ye jahan chor kar
Is aas main chala jaaoon ga main ye jahan chor kar Ke shayad mera marna hi kuch kaam aaye ga Shayad chali aaye tu us pal mere paas daudkar Jis pal tere paas meri maut ka paigam aaye ga
Na chaho kisi ko itna ki
Na chaho kisi ko itna ki, Chahat tumhari majhburi ban jaye, Chaho kisi ko itna ki, Tumhari pyar uske ke liye, Ek zaruri ban jaye.
Top 30 Best & Latest Hindi Broken Heart SMS collection
Urdu / Hindi Broken Heart SMS messages & quotes collection