• Na jane kyu hame

    Na jane kyu hame aansu bahane nahi aate, Na jane kyu hame hale dil sunana nahi ata, Kyun sathi bichhad jate he hamse, Shayad hame hi sath nibhana nahi ata.

  • Jisne humko chaha, use hum chah na sake

    Jisne humko chaha, use hum chah na sake Jisko chaha usay hum pa na sake Yeh samajh lo dil tutne ka khel hai Kisi ka tora aur apna bacha na sake

  • Hamare liye pyaar

    Kab unki palkon se izhaar hoga, Dil ke kisi kone mein hamare liye pyaar hoga, Guzar rahi hai raat unki yaad mein, Kabhi to unko bhi hamara intezar hoga.

  • Tabhi to chand pe daag hai..

    Kabhi to ki hogi suraj ne chand se mohobbat, Tabhi to chand pe daag hai, Mumkin hai chand ne ki hogi bewafaai, Tabhi to suraj me aag hai.

  • Yeh pyaar ki duniya hai

    Unki yaad dil se bhulai nahi jati, Yeh dil ki dolat roz lutai nahi jati, Kis muh se kahte ho ki unhe hum bhul jaye? Yeh pyaar ki duniya hai, Roz basai nahi jati.

  • Aansu aa jate hain ankhon mein

    Aansu aa jatey hain ankhon mein, par labon pe hasi laani padti hai, yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaro, jisse kartey ho usi se chhupani padti hai.

  • Dil ko samja samja kar thak gai hun

    Kisi ki chahat ne kiya ye asar Nind nahi aati raat raat bhar Duniya ke ravayat se began nahi hun Dil ko samja samja kar thak gai hun

  • Chaho to dil se hame mita dena

    Chaho to dil se hame mita dena, Chaho to hamko bhula dena, Par ye vaada karo a dost, Ki jab yaad aye hamari to rona mat bas muskura dena.

  • Kuch ankhon mein bhi sailaab hote hain

    Ishq bhi kuch adaab hote hain Jaagti ankhon mein bhi hkwaab hote hein Har koye roye ye zaroori nahi Kuch ankhon mein bhi sailaab hote hain

  • Milne ki umang bohut hoti hai

    Zamane se nahi hum tanhai se darte hain, Pyaar se nahi hum ruswai se darte te hain, Milne ki umang bohut hoti hai, Lekin milne ki baad teri judaai se darte hain.

  • Hum kitne baad naseeb hai

    Badal kitne khush naseeb hai Door reh kar bhi zameen par baraste hai Hum kitne baad naseeb hai Pass reh kaar bhi milne ko taraste hai

  • Tanhai hi milegi

    Pyar kisi se karoge to ruswai milegi, wafa karlo chahe kisi se bewafai hi milegi, jitna kisi ko apna banalo, jab aankh khulegi tanhai hi milegi.

  • Haste logo ko rulati hai

    Mohabbat woh hai jo satati hai, Nazuk se dil ko tadpati hai, Karna na kabhi tum mohabbat kisi se, Kambkt ye woh hai.. Jo haste logo ko rulati hai!

  • Lagti hai chot kaise kinaro se puchho

    Is kadar na har baat yaron se pucho, Jo baat raaz ki ho isharo se puchho, Lahero se khelna to samandar ka shauk hai, Lagti hai chot kaise kinaro se puchho

  • Kisi aur ke dildar ban gaye

    Pata hi nahi chala kab woh dost se hamara pyar bangaye, Saath gujare hua kuch pal aaj yaadgar ban gaye, Kar na sake unse izhaar hum is baat ka, Aur dekhte hi dekhte woh kisi aur ke dildar ban gaye.

  • Kisi ko mat lao dil ke itne kareeb

    Raste par mat baitho hawa tang karegi, Gujare hue lamhon ki saja tang karegi, Kisi ko mat lao dil ke itne kareeb, Uske jane par uski har ek ada tang karegi..

  • Mujhe fanah karde

    Aye khuda aaj yeh faisla karde Use mera ya mujhe uska karde Bahut dukh sahe hain maine Koi khushi ab to mere muqaddar kerde Bahut mushkil rehta hai usse door rehna Judai ke is safar ko kam karde Jitna door chala gaya hai woh mujhse Use utna hi mere kareeb…

  • Aapko bhool jau

    Aapko bhool jau umar guzarne ki baat hai, Aap ko naa ho yakin yeh aur baat hai, Jab tak rahegi saas tab tak rahonge yaad, Yeh saas tut jaaye to aur baat hai…

  • Kya hai kasoor hamara

    Todte ho aap Hamesha najuk dil hamara. Pata nahi kya hai Kasoor hamara.

  • Kab Toot jaye kasam hi to hai

    Kab Toot jaye kasam hi to hai, Kab badal jaye nazar hi to hai, Tum mere Saath ki aadat na dalna, Kab choot jaye zindagi to hai.

  • Tanhaayi dhoondoge aansu bahane ko

    Karoge yaad ek din iss pyaar ke zamaane ko, Chale jayenge jab hum kabhi na waapas aane ko. Chalega mehfil me jab zikr hamara koi, To tum bhi tanhaayi dhoondoge aansu bahane ko.

  • Na who chahary hi nazar aatye hai

    Aab woh munzir na woh chahray hi nazar aatye hain Mujh ko maloom na tha khawab bhi mit jatay hain Jany kis hal main hum hain kay humain daik kay sub Ek pil kay liay ruktay hain guzar jaty hain

  • Bhigi palko ke sang muskrane ki

    Dil ko adat si ho gai hai chot khane ki, Bhigi palko ke sang muskrane ki, Kash anjam hum pehle se jaan jate, To kosish bhi nahi karte dil lagane ki.

  • Bolta hai dosti

    Bolta hai dosti, Chup rehta hai pyaar, Hasati hai dosti, Rulata hai pyaar, Milati hai dosti, Judaa karta hai pyaar, Phir bhi kyun dosti chodkar, Log karte hai pyaar.

  • Laut kar zindagi mein meri

    Baar baar laut kar zindagi mein meri mujhe yun na sataya karo, Jaanta hoon main ki tum bewafa ho Kam se kam in bujhti nigaahon mein pani ke chirag na jalaya karo.

  • Dard ko na dekhiye dard se

    Dard ko na dekhiye dard se, Dard ko bhi dard hota hai, Dard ko bhi zaroorat hai pyaar ki, Aahir pyaar mein dard hi toh hamdard hota hai.

  • Mat phero nigaahen

    Mat phero nigaahen chale jaaienge hum, Magar yaad rakhna bohat yaad aayenge hum

  • Teri tasweer ban gayi

    Aankhoun per aansoo ki lakeer ban gayi Kabhi socha na tha aisi taqdeer ban gayi Hum ne to pheri thi yunhi ret per ungliyan Gor se dekha to teri tasweer ban gayi

  • Koi saath nibhaane nahi aata

    Har taraf gehrai hai kinara nazar nahi aata Raah mein bane jab musaafir toh koi hamsafar nazar nahi aata Vaada toh kar lete hai sabhi mohabbat kar lene ke baad Par jab waqt aaye toh koi saath nibhaane nahi aata Kaun samjhe yeh haqeqat hum toh bas pyaar kiye jaate…

  • Unki zindagi ki raah se hatt gaye

    Koi hamein samjhe, na samjhe… Hum khud ko samajh gaye… Doston ki khushi ke liye… Unki zindagi ki raah se hatt gaye.