• Nishan reh jaata hai

    Kaanch chube to nishan reh jaata hai, Dil tute to armaan reh jaata hai, Laga to deta hai waqt marham is dil par, Phir bhi umra bhar ek zakhm reh jata hai.

  • Gham dekar bhi bhool jate hai

    Chot khate hai aur muskurate hai, Iss dil ko sabar karna sikhate hai, Hum to gham lekar bhi yaad rakhte, Aur ek wo hai jo gham dekar bhi bhool jate hai.

  • Kya bataye ishq ne hame kya silsa diya

    Kya bataye ishq ne hame kya silsa diya, Dosti ne mahobbat karne walo ko juda kar diya, Hame na malum tha dosti me aisa bhi hoga, Ki ek dost ne dusre dost ko kafha kar diya………….

  • Ek tufaan sunai dega

    Jab kabhi dil ko woh yaadon se rihai dega, Mere andar ek tufaan sunai dega, Uss se milte hi ehsaas hua tha mujhko, Yehi woh shaks hai jo lambi judai dega.

  • Dil mein kisi ki yaad hai

    Dil mein kisi ki yaad hai Uss yaad mein ussi ka naam hai Jiska deedar karte hai baar baar Woh hi kyun bewaafa yaar hai!!

  • Pathar se wafa

    Pathar se wafa, butt se sada maang raha hoon, Kyu aaj main sehra se ghata maang raha hoon, Mudat se koi dil ko dukhane nahi aaya, Aa jao koi zakham naya maang raha hoon, Hai door bohat door meri dast-e-raas se, Jo ghar main jale woh diya maang raha hoon,…

  • Ek thaka hua ansoo

    Taptey sehraa mein karaktey dhoop mein, Main nikal padaa tujhey dhondhne ko, Par mere haath kya ayaa, Sadion ke tanhaye aur, Ek thaka hua ansoo, Meri zindagi ka sahara nahi hai, Iss jaha mein koi hamara nahi hai, Pakra unka daman toh woh haskar bole, Chor yeh daman tumhara nahi…

  • Taras jaoge tum mehfil-e-wafa ke liye

    Taras jaoge tum mehfil-e-wafa ke liye, Kisi se pyaar mat karna khuda ke liye, Jab lagegi ishq ki adalat ek din, Tum hi chune jaoge saza ke liye.

  • Hamne to kinare se dosti kar li

    Kabhi jis dil mein naam hamara dhadakta tha, Jin aankhon mein kabhi hamare hi sapne hote the, Jin hothon par har waqt hamara hi naam hota tha, Aaj wahi dil, wahi aankhe, wahi sab begane se lagte hain. Shayad woh dil ki kasti ko naya manjhi mil gaya, Apna kya,…

  • Usse pana nahi taqdeer mein sayad

    Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai, Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai, Usse pana nahi meri taqdeer mein sayad, Phir bhi har mod pe ussi ka intezar kyon hai ?

  • Apno ne rulaya hai

    Woh saksh jise har kisi ne thukraya hai, Bas aansoo ne gale lagaya hai, Kisi aur se kya sikwa kare dost, Hume toh apno ne rulaya hai.

  • Tum lakh chupana zamaane se

    Aey sanam teri duniya aur tumhe chod jayenge, Jab hum na honge toh bahut yaad aayenge, Tum lakh chupana zamaane se ae sanam, Aansu ban ke teri aankh se beh jaenge.

  • Yaade rukti nahi rok panese

    Yaade rukti nahi rok panese, Dil rukta nahi kisi k samjhane se, Ruk jati hai dhadkan tumhe bhool jane se, Hum tumhe yaad karte hai jine k bahanese.

  • Markar bhi bahut yaad aa raha hai koi

    Mitti meri kabar say chura raha hai koi, Markar bhi bahut yaad aa raha hai koi, Eh khuda ek pal ki zindagi aur de de mujay, Udaas mery kabar say jaa raha hai koi.

  • Antim saas lena chaunga

    Chidiya banke rehaan ke tarf udta chala jaunga, Jalne k eashas hey magar loat kar wapas na aaunga, Pyaar dukh ka sagar hai…Maloom hai.. Fir bhi dubta chala jaunga, Bin tera bina kya jeena…. Ish se aacha tera gooad par Mera antim saas lena chaunga.

  • Sochne se hi khush rehte hain

    Log kehte hain jo chup rehte wo gam sehte hain, Per shayad unhe ye pata nahi, Jo chup rehte hain, Wo kisi ko sochne se hi khush rehte hain.

  • Pathron se they taalukaat hamare

    Phir usi chand se rishta bana baithe, Phir usi saadgi se fareb kha baithe, Pathron se they taalukaat hamare, Phir bhi sheeshe ki ghar bana baithe.

  • Is anjnabi duniya mein

    Is anjnabi duniya mein,akela ek khawaab hu, Sawaalo se khafa,chhota sa jawaab hu, Jo na samajh sake,unke liye “koun”, Jo samajh chuke,unke liye kitaab hu, Duniya ki nazar mein,jaane kyu chubha sa, Sabse nashila aur badnaam sharaab hu, Sar uthakar dekho,wo dekh raha hai tumko, Jisko na dekha usne,wo chamakta…

  • Yaar ne dil ka haal batana chod diya

    Yaar ne dil ka haal batana chod diya, Humne bhi gaherayi mein jana chod diya, Jab usko hi duri ka ehsas nahi, Humne bhi ehsas dilana chod diya.

  • Na jane us par itna yakin kyon hai

    Na jane us par itna yakin kyon hai, Uska khayal bhi itna hasin kyon hai, Suna hai pyaar ka dard mitha hota hai, To ankhon se nikla aansu itna namkin kyo hota hai?

  • Aap log sada haste rahe

    Roshni se hame apne dil ko jalana pada, Dard sahkar bhi hame muskurana pada, Aap log sada haste rahe, Is liye hame aasuwo ko chipana pada.

  • Paas aakar sabhi door chale jate hain

    Paas aakar sabhi door chale jate hain, Hum akele the akele hi reh jate hain, Dil ka dard kis ko dikhayen, Marham lagane wale hi zakhm de jate hain.

  • Milne ki to bahut chahat hai

    Tammana se nahi tanhaee se darte hain, Pyar se nahi ruswaai se darte hain, Milne ki to bahut chahat hai, Par milne ke baad judaai se darte hain.

  • Tanhai aakar ye pooch jati hai

    Subah aati hai rula jati hai, Shaam aati hai samjha jati hai, Tanhai aakar ye pooch jati hai, Kya unhe bhi tumhari yaad aati hai.

  • Hamara to chand hi humse dur hai

    Raat pe aaj noor hai, Kyunki ush chand pe gharoor hai, Hum kis par gharoor karen? Hamara to chand hi humse dur hai.

  • Jeetai the hum kabhi saan se

    Jeetai the hum kabhi saan se, Mahek uthi fija kisi ke nam se, Par gujre hain kuch aise mukam se, Nafrat si ho gai hai mohabat ke nam se.

  • Rishta tod gaye

    Saaye ki tarah saath rahne wale Hamse rishta tod gaye, Hakikat main milna mumkin nahi tha To khwabon mein bhi aana chhod gaye.

  • Sirf jo apna hain uski kami hai

    Kuch bikhare sapno se ankhon mein nami hai, Ek chhota sa aasma aur umido ki zamin hai, Yun to bahut kuch hai zindagi main, Sirf jo apna hain uski kami hai.

  • Mita diya khud ko unke liye pyaar mein

    Mere pyaar ko duniya mein koi samaj na paya, Rota tha jab tanha koi mere pass na aaya, Mita diya khud ko unke liye pyaar mein, Aur woh kehte hain ke mujhe pyaar karna na aaya.

  • Ishq ke andaaz

    Ishq ke andaaz aur josheele ho gaye, Husan ke nakhare aur nakhreele ho gaye, Hum izhaar karne mein zara dheele kya huye, Unke haath peele ho gaye.