• Tanhaayi dhoondoge aansu bahane ko

    Karoge yaad ek din iss pyaar ke zamaane ko, Chale jayenge jab hum kabhi na waapas aane ko. Chalega mehfil me jab zikr hamara koi, To tum bhi tanhaayi dhoondoge aansu bahane ko.

  • Na who chahary hi nazar aatye hai

    Aab woh munzir na woh chahray hi nazar aatye hain Mujh ko maloom na tha khawab bhi mit jatay hain Jany kis hal main hum hain kay humain daik kay sub Ek pil kay liay ruktay hain guzar jaty hain

  • Bhigi palko ke sang muskrane ki

    Dil ko adat si ho gai hai chot khane ki, Bhigi palko ke sang muskrane ki, Kash anjam hum pehle se jaan jate, To kosish bhi nahi karte dil lagane ki.

  • Bolta hai dosti

    Bolta hai dosti, Chup rehta hai pyaar, Hasati hai dosti, Rulata hai pyaar, Milati hai dosti, Judaa karta hai pyaar, Phir bhi kyun dosti chodkar, Log karte hai pyaar.

  • Laut kar zindagi mein meri

    Baar baar laut kar zindagi mein meri mujhe yun na sataya karo, Jaanta hoon main ki tum bewafa ho Kam se kam in bujhti nigaahon mein pani ke chirag na jalaya karo.

  • Dard ko na dekhiye dard se

    Dard ko na dekhiye dard se, Dard ko bhi dard hota hai, Dard ko bhi zaroorat hai pyaar ki, Aahir pyaar mein dard hi toh hamdard hota hai.

  • Mat phero nigaahen

    Mat phero nigaahen chale jaaienge hum, Magar yaad rakhna bohat yaad aayenge hum

  • Teri tasweer ban gayi

    Aankhoun per aansoo ki lakeer ban gayi Kabhi socha na tha aisi taqdeer ban gayi Hum ne to pheri thi yunhi ret per ungliyan Gor se dekha to teri tasweer ban gayi

  • Koi saath nibhaane nahi aata

    Har taraf gehrai hai kinara nazar nahi aata Raah mein bane jab musaafir toh koi hamsafar nazar nahi aata Vaada toh kar lete hai sabhi mohabbat kar lene ke baad Par jab waqt aaye toh koi saath nibhaane nahi aata Kaun samjhe yeh haqeqat hum toh bas pyaar kiye jaate…

  • Unki zindagi ki raah se hatt gaye

    Koi hamein samjhe, na samjhe… Hum khud ko samajh gaye… Doston ki khushi ke liye… Unki zindagi ki raah se hatt gaye.

  • Bichadte waqt

    Bichadte waqt uss ne kaha tha, Na sawal karna jawab milega, Mujhe bhool jana qarar milega, Hum uss muqam par they, Na sawal kiya na jawab mila, Na bhool sake na qarar mila!

  • Tadpane k liye yaad reh jati hai

    Kabhi khamoshi bhi bahut kuch keh jati hai, Tadpane k liye yaad reh jati hai, Kya farak padta hai wills ho ya gold flake, Jalne ke baad sirf raakh reh jaati hai.

  • Mohobbat ne hum per yeh ilzaam lagaya hai,

    Mohobbat ne hum per yeh ilzaam lagaya hai, Wafa kar k bhi bewafa ka naam paya hai. Rahain alag nahi thin hamari phir bhi, Hum ne alag alag manzil ko paya hai

  • Aaj unke dar par sar jhukaye baithe hai

    Jo aksar kaha karte the hume apni jaan, Aaj unke dar par sar jhukaye baithe hai ! Kuch to saza de wo hame hamari wafaaon ka, Jo aaj kisi aur se dil lagaye baithe hai !!

  • I scare U

    Its really sad to hear I scare U when I touch U What had been so bad experiences I’m crazy what can I do!!! I can’t stay without loving U?

  • Apne ghar phook ke dekhe hain ujale hamne

    Raste khud hi tabahi ke nikale hamne, Kar diya dil kissi patthar ke hawale hamne, Hamko malum hai kya shai hai mohabbat logon, Apne ghar phook ke dekhe hain ujale hamne.

  • Mujko kabhi tum yaad na karna

    Hamari khushi ki baghwan se firyad na karna, Bhula dena mujko kabhi tum yaad na karna, Kiya barbad tune mujhe yeh meri badnasibi thi, Iltaza hai kisi aur ko yun barbad na karna…

  • Mein to iss aas per jee raha

    Zindagi ae zindagi humein Tum se koyi tamanna kab hai Mein to iss aas per jee raha Hoon ke marna kab hai.

  • In ankhon main aansu aye na hotay,

    In ankhon main aansu aye na hotay, Agar tum pichay mur ker muskuraye na hotay, Tumharay janay k baad yeh ghum hota hay, Kaash tum zindagi main aye hi na hotay….

  • Yaad ko dil se juda karenge

    Unke bewafai par wafa hum karenge, Yaad ko unki dil se juda hum karenge, Itna chaha phir bhi yakeen nahi, Aise zindagi jee kar kya karenge.

  • Khuwab dekha bhi nahi aur toot gaya

    Khuwab dekha bhi nahi aur toot gaya, Woh hum se mila bhi nahi aur rooth gaya , Hum jagtay rahe aur duniya soti rahi, Ek akeli barish thi jo sath roti rahi.

  • Kaash k usay

    Kaash k usay chahnay ka arman na hota, main hosh main hote howay anjaan na hota, yeh pyaar na hota kisi patthar dil se hamain, ya koi patthar dil insan na hota.

  • Sapno se dil lagane ki adat nahi rehi

    Sapno se dil lagane ki adat nahi rehi, Har waqt muskurane ki adat nahi rehi, Yeh soch kar k, koi manane nahi ayega, Ab humari ruth jane ki adat nahi rehi.

  • Woh sagar nahi aansoo the mere

    Woh sagar nahi aansoo the mere, Jispar woh kashti chalate rahe. Manzil mile unhe yeh aarzo thi meri, Issliye hum aansoo bahate rahe.

  • Aansu ki kismat

    Honto ki juban yeh aansu kehte hai, Jo chup rehte hai phir bhi behte hai, Aur in aansu ki kismat to dekhiye, Yeh unke liye behte hai jo in aankho mein rehte hai.

  • Bahut der se barbad kiya

    Dil ki choton ne kabhi chain se rehne na diya, Jab chali sard hawa maine tujhe yaad kiya, Iska rona nahi kyo tumne kiya hai barbad, Iska gam hai k bahut der se barbad kiya.

  • Tum hi ne tod diya

    Yehi wafaa ka silaah hai, toh koi baat nahi Yeh dard tum ne diya hai, toh koi baat nahi Yehi bahot hai ke tum dekhte ho sahil se Safeena doob raha hai, toh koi baat nahi Rakha tha aashiyana-e-dil mein chupa ke tumko Woh ghar tumne chor diya hai toh…

  • Dil ka dard

    Dil ka dard jab panno par aa jata hai Ek aansu bhi dariya ban jata hai. Dil k tutne ki aawaz bhi nahi aur Sara dard gazal ban jata hai.

  • Aansu banaya hota

    Kaash banane wale ne humko aansu banaya hota, Aur mehboob ki aankho mein basaya hota, Jab girte unki aankho se unki hi godh mein, To marne ka maza kuch alag hi aaya hota.

  • Dard se chahat aur jawan hoti hai…

    Aankhen to pyar mein dil ki jubaan hoti hai, Sachi chhat to sada bezubaan hoti hai, Pyar mein dard bhii mile to kya ghabrana , Suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai.