• Yaad na aaye tumhe

    Meri pehchan bas nam hi sahi, Yaad na aaye tumhe itne badnam toh nahi, Hume bhul jana majburi hi sahi, Magar sachmuch bhool jao yeh zaruri toh nahi.

  • Gina Hi Nahi Tha

    Mujhay Bhi Pata Tha K Log Badal Jaate Hein . . . Magar … Meine Kabhi Tumhay Logon Mein Gina Hi Nahi Tha

  • Teri bewaffai ki chot se

    Nikal ke unke dil se hum mehfil mein aa baithe hai, Hamari mushkil yeh hai ke badi mushkil mein aa baithe hai, Ladkhadane lage hai hum teri bewaffai ki chot se, Log kehte hai pee ke sare mehfil mein aa baithe hai.

  • Tanha dekh saraab ko

    Yun toh peete hai hum bahot aehteyaam se, Par pee li hai aaj humne bahot tere naam se, Ise aadat mat samajhna yeh majboori hai meri, Milte hai roz jindagi humein har ek jaam se, Gum se nazar mili toh ghabra ke pee gaye, Khusi thodi si mili toh mila…

  • Kuch pehchaan baaki hai

    Kya kahein iss khel ko jo tune mere saath khele hai, Tujhe khus dekhne ke liye har sitam humne jhele hai, Kabhi paa hi nahi saka tumhe toh aaj judaai kaisi, Hum akele bhi tanha the aur aaj tanha bhi akele hai, Teri mohabbat ka ab bhi nishaan baaki hai,…

  • Na jane kyun log pyaar kar baithte hain

    Na jane kyun log pyaar kar baithte hain Na jane kyun log iqrar kar baithte hain Hum unhe apna samajkar zindagi bhar baithte hain Aur ek wo hai jo bewafai karke bas muskara baithte hain.

  • Zindagi girvi rakhker khareeda tha jise

    Aaj door se koi salam kargaya, Apni yaadon ka gulam kargaya, Apni zindagi girvi rakhker khareeda tha jise, Aaj woh hi hume neelam ker gaya.

  • Takleef to tab hoti ha

    Dil ke chhalon ko koi shayari kahe, To dil ko dard nahi hota. Takleef to tab hoti hai, Jab log wah-wah karte hain.

  • Barbaad wafa ka afsana

    Barbaad wafa ka afsana, Hum kiss se kahen aur kaise kahen, Khamosh hai lab aur duniya ko, Ashqon ki zuban malum nahi, Dil shola-e-gham se khaak hua, Ya aag lagi armaano mein, Kya cheez jali kyu seene se, Uthta hai dhuan malum nahi.

  • Muskura na sake hum

    En aankhon mein ab ashk toh nahi, Par ek arse se muskura na sake hum. En laboon pe ab tera naam bhi nahi, Par iss dil se tumhe nikaal na sake hum. Mita di teri yaadon se juri har nishani humne, Par teri woh yaadein hi mita na sake hum.

  • Dil todne wala kya jane

    Dil ke dard ko dil todne wala kya jane, Pyaar ke rivajo ko yeh jmaana kya jane, Hoti hai kitni takleef kabar mein, Upper se phool chadane waala kya jane!

  • Apno ne zahar ka jaam de diya

    Apno ne zahar ka jaam de diya Gairon ne bewafaa ka naam de diya Wo jo kehte ki bhul na jana hame Aaj unhone hi bhari mehfil mein anjan keh diya.

  • Aansu ko bahut samjhaya

    Aansu ko bahut samjhaya tanhai mein aayaa karo, Mehfil mein hamara majak na udaya karo, Isspar aansu tadapkar bola, Itne logo mein aapko tanha pate hain, Issliye chale aate hain.

  • Dekho fir raat aa gayi

    Dekho fir raat aa gayi, Tanhaiyo mein waqt bitane ki baat aa gai, Hum to yu hi baithe the Sitaro ki panah mein, Chand ko dekha toh aapki yaad aa gai.

  • Apne honay Ka Pata de daina.

    Apne honay Ka Pata de daina. Kabhi guzro to sada de daina. Yaad aa jaon ibadat main agar. Hath utha k dua de daina.

  • Jitni duwa ki usse pane ki

    Usake hote hue bhi tanhai mili hai, Wafa kar ke bhi hume bewafai mili hai, Jitni duwa ki usse pane ki, Uss se zyada usaki judai mili hai.

  • Dard se rista hai mera

    Dard se rista hai mera, Khushi mere nashib mein nahi. Humse bhi koi pyaar kare, Itne toh khusnaseeb nahi.

  • Mere ishq ka inaam to aaya

    Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aaya Khali hi sahi hathon mein jam to aaya Mein hoon bewafa sabko betaya usne Yun hi sahi, uske labhon pe mera naam to aaya.

  • Teri wafa pe shak nehi

    Teri wafa pe shak nehi, Teri wafaon ko manta hoon main. Magar tujhko kiski aur ki aarzoo hai, Yeh haquikat bhi jaanta hoon main.

  • Yeh sharab bhi befawa nikli yaaro

    Pi ke raat ko hum unko bhulane lage, Sharab mein gum ko milane lage, Yeh sharab bhi befawa nikli yaaro, Nashe mein toh woh aur bhi yaad aane lage.

  • Sona chahta hun per neend nahi aati

    Sona chahta hun per neend nahi aati hai, Badal badal ke karwate yunhi raat guzar jati hai, Kar bhi pyaar ka izhar ya jaane jigar, Akhir kyon tu mujhe itna tadpati hai.

  • Inkaar ko iqraar kehte hai

    Inkaar ko iqraar kehte hai, Khamoshi ko izhar kehte hai, Kya dastoor hai iss duniya ka yaar, Ek dhokha hai jise sab pyaar kehte hai.

  • Itni si kahani hai

    Meri aur uski itni si kahani hai Tuti hui kashti, ruka hua pani hai Ek gulab jo uski kitab mein dum tod chuka hai, Aur usko yaad hi nahi ki ye kis ki nishani hai.

  • Woh ruthte rahe

    Woh ruthte rahe hum manate rahe, Unki raahon mein palkein bichhate rahe, Unho ne kabhi palat ke bhi na dekha, Hum aankh jhapkane se bhi ghabrate rahe.

  • Hum the ki akele reh gaye

    Aansu ke chand boondon se woh rishta humara tod gaye, Tanha chhod ke humein gumon ko humara keh gaye, Unki yeh anokhi aada kya thi hum ab tak na samajhe, Aur dardon ke baarish mein hum the ki akele reh gaye.

  • Yeh to sab hai pine pilane ke bahane

    Yeh kaisi mahobbat, yeh kaise fasane, Yeh to sab hai pine pilane ke bahane, Woh daman woh unka ki sunsan saaya, Ki humko to abb hai bus aasoon bahana.

  • Aapne bhi yaad karna chod diya

    Hasi ne labo pe aana chod diya! Khawaboon ne bhi palkon pe aana chod diya. Nahi aati ab toh hichkiyan bhi, Shayad aapne bhi yaad karna chod diya.

  • Beetay pal

    Beetay pal wapas la nahi sakte, Sukhe phool wapas khila nahi sakte, Kabhi kabhi lagta hai aap hamein bhul gaye, par dil kehta hai k aap hamein bhula nai sakte.

  • UMEED…

    €.UMEED.€ Na Rakhna Kabhi kisi Se. Sache Pyär Kee. .JANAM.. BØht PyAr Se Dhoka Detay Hai . Shiddat SE ChaNe Wale.

  • Zindagi bhar ki kasam

    Karte rahe hum unse wafa, Woh humse bewafa hote gaye, Agar chodna tha saath bich raha par, Toh zindagi bhar ki kasam kyun khate chale aaye.