• Aisa bane pyaar ka ristha

    Woh meri, main uska ho jaun, Tadap mein uske main mar jaun, Aisa bane pyaar ka yeh ristha hamara, Woh mera jism aur main uski jaan ban jaun.

  • Thoda nahi beshumar chahiye

    Kaise kehein ki tumhara pyaar chahiye, Thoda nahi beshumar chahiye, Tum bin nahi lagta hai mera dil, Jeene ke liye tera sath chahiye.

  • Yahi hai dua ki tum khush raho

    Dil ki galiyon mein koi gam naho, Hamari yeh dosti kabhi kam na ho, Bas yahi hai dua ki tum khush raho, Kya pata hum “kal ho na ho “

  • Dil ke pass rakhte hai

    Na to yaado ko yaad rakhte hai Na hi sapno ko saath rakhte hai Hum to buss unko yaad rakte hai Jo hamein dil ke pass rakhte hai.

  • Tujhse bahut pyaar karte hai

    Tujhse bahut pyaar karte hai, Tera har pal intejar karte hai, Jahan mein Jiski na koi missal hai, Tu gulabon mein ek khas gulab hai.

  • Ek aansu ka boond kaafi hai

    Pyaase ko ek katora pani kaafi hai, Ishq mein chaar pal ki zindagi kaafi hai, Doobne ko samandar mein jaaye kyu, Unki palkon se tapka woh ek aansu kaafi hai.

  • Janam lena pade phir se

    Kash woh ek baar keh de, Ki pyaar karti hai woh mujhse, Chahe yeh baat sunne ke liye, Janam humein lena pade phir se.

  • Tu samjhe toh moti hai

    Mohbbat ek ehsaason ki pawan si kahani hai, Kabhi kabira deewana tha, kabhi meera deewani hai, Yahan sab log kehte hai meri aankhon mein aasoon hai, Jo tu samjhe toh moti hai, jo na samjhe toh paani hai.

  • Tum pe marta hai b’coz tum se aacha kaun hai

    Tum pe marta hai b’coz tum se aacha kaun hai. I think kuch to hai, baas itna sa khawab hai. Kehta hai dil koi mil gaya, sirf tum… Kabhi yeh maat kehna ki hum apke hai kaun… B’coz hum tumhare hai sanam… I know hum apke dil main rehta hain,…

  • Karib se tujhe dekha

    Karib se tujhe dekha to apna paya, Jab tujhe dosti mein azmaya to apna paya, Tujhe kya naam doon,samajh mein nahin aata, Meri zindagi ya apna saya.

  • Dil se apka khayal jata nahin

    Dil se apka khayal jata nahin, Apke siwa koi yaad aata nahi, Hasarat hai roz apko dekhu, Par kambakt woh madari apko roz lata nahi.

  • Ek aasu bhi gira to sunai dega.

    Raat hogi to chand duhai dega, Khabo mein aapko woh chehera dikhai dega, Ye mohabbat hai zara sochke karna, Ek aasu bhi gira to sunai dega.

  • Tum dil ke pas itne ho

    Doorian bahut hai par itna smajh lo, Pass rahkar hi koi rishta khas nahi hota, Tum dil ke pas itne ho ki, Dooriyon ka ehsaas nahi hota.

  • Khuda se maine ek dua maangi

    Khuda se maine ek dua maangi, Dua main apni maut maangi, Phir khuda ne kaha maut to tujhe mein de du, Par usko kya kahu jisne teri lambi umar maangi.

  • Surat par aapki fida ho kar

    Surat par aapki fida ho kar, humne aaapki tasvir banwai hai, Ghar ko hamare nazar na lagey is liye, Woh tasvir bahar gate par tangwai hai.

  • Kya mangu khuda se tumhe paane ke baad

    Kya mangu khuda se tumhe paane ke baad, Kiska karu intezar zindagi main tere aane ke baad, Kyun pyaar me jaan luta deta hai log, Mujhe maloom hua tumhe apna banane ke baad.

  • Dil ke bazar mein daulat nahi dekhi jaati

    Dil ke bazar mein daulat nahi dekhi jaati, Pyaar ho jaya to surat nahi dekhi jaati, Ek hi insaan pe luta do sab kuch, Kyoki pasand ho cheez to kimmat nahi dekhi jaati.

  • Aankho mein samane ki tamanna

    Kajal banke teri aankho mein samane ki tamanna hai, Dawa banke tere dard mitane ki tamanna hai, Yun to haasil hai zamane ki har cheez mujhe, Sirf ek baar tujhe apna banane ki tamanna hai.

  • Mohabbat ki shamma

    Mohabbat ki shamma jala kar to deikho, Zara dil ki dunia ko saja kar to deikho, Agar ho na jaye mohabbat to kehna, Zara hum se nazrain mila kar to deikho.

  • Jo log aapko roj milte hain

    Dil ke rishtey bhi kitne ajeeb hote hai, Dur ho kar bhi kitne kareeb hote hai, Jo log aapko roj milte hain, Dekhte hain, woh kitne khushnaseeb hote hain.

  • Jaane kya baat hai aap mein

    Sari umar aankho mein ek sapna yaad raha, Sadiyaan beet gayi wo lamha yaad raha, Jaane kya baat hai aap mein, Sari mehfil bhul gaye bas wo pal yaad reh gaya.

  • Judai aapki rulate rahengi

    Judai aapki rulate rahengi, Yaad aapki aate rahengi, Pal pal jaan jati rahengi, Jab tak jism mein hai jaan, Meri har saans pyar nibhati rahengi.

  • Chand taroon ka noor aap

    Chand taroon ka noor aap, Per har koi aap ki chahat ko tarsein, Aap ki zindagi mein itni khushian ke, Aap ek gham pane ko tarsein.

  • Hum na hote gazal kaun kehta

    Hum na hote gazal kaun kehta, Tere es chehere ko kamal kaun kehta, Yeh to karishma hai meri mohabbat ka, Warna en pattharon ko taj mahal kaun kehta.

  • Kuch kadam tum badaoo

    Kuch kadam tum badaoo Kuch kadam hum badai Kuch wade aap nibhaoo Kuch hum nibhaye Aur dekhna ek din hum ek ho jayenge.

  • Tumse hai mera rishta

    Tumse hai mera rishta Gulab sa, Rehkar tumse door lagta hai azab sa, Gulab ki toh seerat mein hai mehak dena, Par hamari niyat mein hai tumhe pyaar dena.

  • Duniya se nahi khuda se darte hai

    Hum tanhai se nahi mehfil se darte hai, Duniya se nahi khuda se darte hai, Yu to bohat kuch khoya hai zindagi mein humne, Na jaane kyu tumhe khone se darte hai!

  • Yeh kaisa pyaar hai

    Unke saath rehte hai par izhar kar nahi sakte, Unse pyaar karte hai par keh nahi sakte, Yeh kaisa pyaar hai mera, Unhe chahkar bhi pa nahi sakte.

  • Jannat tumhe mil jaaye

    Zamane ki har jannat tumhe mil jaaye, Ye aasma ye zamin tumhari hogi, Mujhse keh bhi na paaoge usse pehle, Mere hisse ki har khushi tumhari hogi.

  • Har kadam pe aapka ehsaas chahiye

    Har kadam pe aapka ehsaas chahiye, Mujhe aapka saath apne paas chahiye, Khuda bhi ro pade hamari judai se, Aisa ek rista khaas chahiye.