Ye dil muskura k kehta hai
Aasma k taare aksar puchte hai humse, “Kya tumhe aaj bhi intezar hai uske laut aane ka” Aur ye dil muskura k kehta hai, “Mujhe to ab tak yakeen na hua uske chale jaane ka”
Saans se pehle teri yaad aati hai
Saans lene se bhi teri yaad aati hai Har saans mein teri khushboo bas jati hai Kese kahoon ki saans se main zinda hoon Jab ki saans se pehle teri yaad aati hai
Woh humse door hai
Mana ki woh humse door hai, Na mil sakne ko majboor hai, Hum mil kar bhi na mil sakein, Shayad khuda ko yeh manjoor hai.
Nazar ne nazar se mulaqat kar li
Nazar ne nazar se mulaqat kar li, Rahe dono ekdam khamosh par phir bhi baat karli. Kuch samay baad mohabbat ki fiza ko tab jana jab khud ko akela paya, Aur tab mere en aankhon ne ro ro ke barsaat kar li.
Duniya se ham anjaan bane unke liye
Sari duniya se ham anjaan bane unke liye Hamse wahi ab anjaan bane bathe hai Yeh dil ab aur intzaar mat kar Lagta hai woh kisi aur ke mehman banye bathe hai
Sitaron se agey jahan aur bhi hein
Sitaron se agey jahan aur bhi hein, Abhi mohabbat k imthan aur bhi hein, Tum hi nehi jalatey mere dil ko, College mein ladkiyan aur bhi hein.
Har raat nashe mein hote hai
Har raat nashe mein hote hai, Aur raat gujar jaati hai, Ek din aisa ayega, Raat nashe main hogi, Aur ham gujar jaayenge.
Dost to harpal dil me basaya jata hai
Yahi to khubsurat dosti ka nata hai Jo bina kisi shart ke jiya jata hai Rahe duriya darmya to parwa nahi, Dost to harpal dil me basaya jata hai
Aapki yaad aaye bina din ki shurwaat nahin hoti
Bin sawan barsat nahi hoti suraj dube bina raat nahi hoti kya kare ab kuch aisi halat hai ki aapki yaad aaye bina din ki shuruwaat nahin hoti
Salaam karte hain mehfil mein
Salaam karte hain mehfil mein woh nazarein jhukake, Hum bhi hain ke unhi ko hain nishaana banaye, Jo khushi bayaan karte the nigaaaho se kabhi, Aaj baithe hain woh khud se apni hi nazrein churaaye.
Hum haare chale gaye
Raat gayi tare chale gaye, Gairo se kya gila? Jab hamare chale gaye Hum jeet sakte the kayi baziyan Bas kuch apno ko jitane ke liye Hum haare chale gaye
Yun to pathar ki bhi taqdeer badal sakti hai
Yun to pathar ki bhi taqdeer badal sakti hai Shart yeh hai k isay dil se tarasha jaye
Bhula na payenge
Koi anjaan bhi kabhi apna sa lagta hai, Bhula na payenge, aisa koi sapna sa lagta hai, Yaadein to bohot hain is dil main, Magar pyaar wahi hai, Jo kisi ki aankh se yaad baha sakta hai.
Mehdood Se Lamho’n Me
Tum To Kuch Mehdood Se Lamho’n Me Milay Ho Hum Se..,.,, Phir Jaany Kyun Hum itni Fursat Se Tumhe yaad krty Hain..
Dil se pyaar karna
Bina tu kaise jeena, Jaldi mera paas aana, Pyaar se gale lagana, Dil se pyaar karna, Mujhe dil mein basana, Zindagi saath nibhana, Mujhe teri saath mein hai jeena.
Woh likhte hain humara naam mitti main…
Woh likhte hain humara naam mitti main aur mita daite hain, Unke liye ye khel hoga magar humain to woh mitti main mila dete hain…
Roz milne ko dil karta hai
Unse roz milne ko dil karta hai, Kuch sunne sunane ko dil karta hai, Kisi ka manane ka andaaz aisa hai, Roz rooth jane ko dil karta hai.
Ye dil na hota to koi baat na hoti
Kudrat ke karishme me agar raat na hoti To khwabo me aap se mulakaat na hoti Har marj ki wajha ye dil hi to hai Ye dil na hota to koi baat na hoti
Sirf tumhari wajhase
Har roz me uthti hun apne chehre par muskurahat lekar, Aur haske salaam karti hun, Yeh duniya mere liye sab kuch hai, Sirf tumhari wajhase. Jab bhi mein udas hoti hoon, Toh us udasi mein tumhare naam mein badal leti hun, Aur mera maan phirse khushiyo mein badal jata hai.…
Yeh dosti ka rishta pyar se gehra hai
Khushiyon par fizaoun ka pehra hai Najane kis umeed per dil tehra hai Teri aankhon se jhalakte dard ki qasam Yeh dosti ka rishta pyar se gehra hai
Muskurana andaaz hai gam chupane ka
Hamari yaad mein woh bhi kabhi khoye honge, Khuli aankhon se woh bhi kabhi soye honge, Mana ke muskurana andaaz hai gam chupane ka, Magar hanste hanste woh bhi kabhi roye honge.
DIL k dard ko dil torne wale kia jane..
DIL k dard ko dil torne wale kia jane PYAR k riwajon ko ye zamana kia jane Hoti hai takleef KABAR main kitni Ye upar se PHOOL rakhne wale kia jane.
Raaz dil mein chupate hai woh
Raaz dil ka dil mein chupate hai woh, Samne aate hi nazar jhukate hai woh, Baat karte nahi, ya hoti nahi, Par shukar hai jab bhi milte hai muskurate hai woh!
Rastay to mushkil hi hotay han sabhi…
Rastay to mushkil hi hotay han sabhi… Yun b kitna sath log chaltay han… Tumay badal dia zamanay ki hawa nay… Or hum zamanay ki hawa badaltay han…
Tum se baat karna tab aadat thi
Tum se baat karna tab aadat thi, Nahi tha pata ki yeh chahat ban jayenga, Hajaaron rang hai zamane mein, Tere saath se mile woh rang ab zindagi ban jayenge, Naa samjhna ki hum tumhe bhoola payenge, Lekin tumhare raste mein bhi kabhi nahi aayenge, Tumse naraj hona jindagi se…
Kisi ko kya malum
Abhi hamari mohabbat kisi ko kya malum, kisi ki dil ki haquikat kisi ko kya malum, khuda ke waste yun na benaqab phiro, kisi ki kaisi hai niyat kisi ko kya malum.
Woh zindagi kya jisme apna na ho
Woh zindagi kya jisme apna na ho Woh mehndi hi kya jisme pyaar ka rang na ho Woh dukh hi kya jis ki koi wajah na ho Woh dil hi kya jisme aap na ho
Ek aansu bhi rusva kar jata hai
Bachpan ke dukh bhi kitne achhe thay Tab toh sirf khilone tuta karte the.. Wo khushiyan bhi na jane kaise khushiyan thi, Titli ko pakad k uchhla karte the.. Paon maar k khud barish ke pani mai, Apne aap ko bhigoya karte the.. Ab toh ek aansu bhi rusva kar…
Ussey Kehna
Ussey Kehna December Laut Aya Hai Hawayein Sard Hain Wadiyan Bhi Dhund Mein Gum Hain Paharhun Ne Barf Ki Shawl Oarh Rakhi Hai Sabhi Raste Tumhari Yaad Mein Purnam Se Lagte Hain Jinhein Sharf-e-Muhabbat Tha Woh Saray Cards, Woh Perfumes, Woh Choti Si Diary, Woh Terrace, Woh Chaye Jo Hum…
Maine kaha qismat meri
Ussne kaha kaun hai tu? Maine kaha hasrat teri.. Ussne kaha takta hai kya? Maine kaha surat teri.. Ussne kaha chahtay ho kya? Maine kaha mohabbat teri.. Ussne kaha pachtayega, Maine kaha qismat meri..
Category: Hindi Poetry SMS
Hindi Poetry SMS