Category: Hindi Poetry SMS

Hindi Poetry SMS

  • Tuj se apni sanse jorh de.

    Hum woh nahi jo tum ko ghum main chhod de, hum woh nahi jo tum se nata tod de , hum woh hain,ke agar teri sanse ruk jae, to tuj se apni sanse jorh de.

  • Jo tum se nahi keh paate hai

    Yeh milna aur bicharr jaana Kab apne bas ki baat hai Kismat hi milati hai hum ko Kismat hi juddai deti hai Har baar yeh hi hota hai Koi hume bataye to sahi Jo tum se nahi keh paate hai Dharkan se sunayi deti hai

  • bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte.

    bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte. jaam dusron se cheen kar hum piya nahi karte. agar unko mohabbat hai to hum se akar izhar karen. peecha hum bhi kissi ka kiya nahi karte

  • Tum bin jeena nahi

    Tum bin jeena nahi Tum jaha main vahi Tune mera dil churayi Bina tu dil tadpay Har sans mein teri naam likhayi Teri natha mannath mangi Teri baho mein jeena chaahi

  • Log Mujh Se Mil Kar Bichar Jate Hain

    Log Mujh Se Mil Kar Bichar Jate Hain. Is Liye Main Logon Se Door Rehta Hoon. Mat Samjo K Aate Nahi Adaab-e-Mulaqat Muje. Khaloos Ka Banda Hoon Aadat Se Majboor Rehta Hoon. Jin Se Barha Mera Rabta, Gham Hi Mila. Ab Rabta Nahi Barhata, Bohat Masroor Rehta Hoon. Log Muje…

  • Yeh aankh bhar aayi

    Wohi raat ki khamoshi wohi tanhai, Yeh hawa kisi ki yaad le aayi, Hum toh beith kar uss chand ko dekh rahe the, Phir na jane kiss ke liye yeh aankh bhar aayi.

  • Teri hath kisi aur ke hath me dekar jaunga

    Main tere aane ka intejar karunga Tu jaha jaegi main tere sath rahunga Tu jab mughe yaad karegi main tare paas aaunga Ye dosti main marte dum tak nibhta rahunga Aur na nibha saka to main Teri hath kisi aur ke hath me dekar jaunga

  • Khushiyon ka daaman

    Leja leja tu apne sang Khushiyon ka bhandar, Rehna saath jab toh wazah Kya hui bahar ki! Khushiyon ka daaman toh sabhi pakte hain, Reh jaati hain yaadein, Dil ki tadap hi intezaar hai bas, Kehtein hai isse dillagi!

  • IT shayris

    Kal jab mile the. To dil mein hua ek sound. Aur aaj mile to kehete hain Your file not found! Jo muddat se hota aaya hai, Woh repeat kar doonga, Tu na mili to apni zindagi, Ctrl+alt+delete kar doonga.

  • Jo tera naam na le

    Apne dil ki sun, afwahon se kaam na le Mujhe yaad rakh, beshak naam na le Tera veham hai ki main bhuli hoon tujhe Meri aisi koi saans nahi, jo tera naam na le

  • Bhar dete aapka har pal khushion se

    Kash kushion ki ek dukan hoti aur hame unki pehchan hoti bhar dete aapka har pal khushion se keemat uski chahe hamari jaan hoti

  • Kaun hai jo manzil se dur nahi

    Kaun hai jo manzil se dur nahi, Kaun hai jo zindagi se majbur nahi, Gunah toh sabhi karte hai, Meri nazar mein toh khuda bhi bekasur nahi…

  • Sagar se wafa nibhaten hain

    Sochta hun sagar ki lahero ko dekh kar Kyu yeh kinaray se takra ker palat jaten hain Karte hain ye sager say befawa Ya phir sagar se wafa nibhaten hain.

  • Ye dil na jaane kya kar baitha

    Ye dil na jaane kya kar baitha. Mujhse puche bina hi faisla kar baitha. Iss zameen par toota sitara to nahi girta. Aur ye pagal chand se dosti kar baitha.

  • Dekha nahi palat ke

    Tu ne dekha nahi palat ke humain, Warna hum meherban ho jate, Tere dil ki zameen hi na mili Warna hum asman ho jate.

  • Dil Se Hamain Bhulao Ge Kaisay

    Hum Se Dooor Jao ge Kaisay ? Dil Se Hamain Bhulao Ge Kaisay ? Hum Woh Khushbu Hain Jo Sanson Mein Bastey Hain, Apni Sanson Ko Rok Pao Ge Kaisey?

  • Pyaar kehtay hain

    Dil ki baat ko izhaar kehtay hain, Jhuki nigaahi ko ikraar kehtay hain, Sirf paanay ka naam mohabbat nahi doston, Kuch khonay ko bhi pyaar kehtay hain.

  • Thodi si jaga hame di hai

    Jine ki nayi ada di hai, Khush rahne ki usne dua di hai, Aye khuda jahan ki sari khushiyan use dena, Jisne apne dil me thodi si jaga hame di hai.

  • Hum unse mahobbat karte hai

    Koi chand se mahobbat karta hai Koi suraj se mahobbat karta hai, Hum unse mahobbat karte hai Jo hum se mahobbat karte hai.

  • Kal ka kya pata

    Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega, Door hone ke baad kaun kise yaad aayega, Jee lo ye pal jab hum saath hai, Kal ka kya pata, waqt kahan le jayega.

  • Tadapna dil ko padta hai

    Kagaz bhi mere paas hai Kalam bhi mere paas hai Likhai bhi to kya likhe Dil jo tumhare paas hai Garmi is suraj se hoti hai Tadapna zamin ko padta hai Mohabbat aankho se hoti hai Tadapna dil ko padta hai.

  • Pyaar pooja hai to ibadat bhi

    Pyaar pooja hai to ibadat bhi, Tyaag hai to samarpan bhi, Asaani se jo mil jaye woh pyaar nahi, Badle mein jo dard de jaye wahi to sachhi inayat hai!

  • Kabhi aansu kabhi khushi bechi

    Kabhi aansu kabhi khushi bechi, Hum gariboon ne bebasi bechi, Chand sanse hain kharidne ke liye, Roz marti hui zindgi bechi. Satane lage mujhe jab mere hi saye Pareshan hoke maine roshni bechi Ek hum they jo khud hi bik gaye, Varna logon ne dosti bechi.

  • Kabhi alvida na kehna

    Jo mushkil se mile woh hai?….”Paisa” Jo kisi-kisi ko mile woh hai?….”Pyaar” Jo sabhi ko mile woh hai?….”Gam” Jo kismat se mile woh hai?….”Hum” Isse liye Kabhi alvida na kehna!

  • Tera naam gajal rakha hai

    Ek ek shabd ka matlab badal rakha hai, Aaj se humne tera naam gajal rakha hai, Maine shahon ki mohabbat ka bhram tod diya, Mere ghar mein bhi ek tajmahal rakha hai.

  • Mera dil pareshan hai

    Najane kyun woh jankar anjan hai, Bas yahi baat se mera dil pareshan hai, Teri meethi aawaj meri kamjori hai, Kya har baar tera inkar karna jaroori hai.

  • Kabhi chaha nahi

    Dil kehta hai woh apne hai, Haqikat na sahi sapna hi sahi, Do ghadi chain toh aayega iss dil ko, Mana ki usne kabhi chaha nahi.

  • Zindgi ki kashti

    Zindgi ki kashti kab lage kaun se kinare, Kab isse milengi manchahi bahare, Jeena toh padega hi kaise bhi pyaare, Kabhi dosto ki bheed mein toh kabhi tanhai ke sahare.

  • Broken heart

    Zindagi aap ke liye, Mout mere liye, Kushi aap k liye, Ghum mere liye, Mehfil aap ke liye, Tanhai mere liye, Sab kuch aap ke liye, Aur aap sirf mere liya.

  • Aajma ke dekh lena

    Jab jee chahe aajma ke dekh lena, Iss dil ke tukde karwa ke dekh lena, Har tukde mein teri hi tasveer nazar aayegi, Chahe koi bhi tukda utha ke dekh lena.