Kaun aisa hai jo ye paap nahi karta
Pyaar kare usse koi maaf nahi karta, Koi uske saath insaf nahi karta, Log pyaar ko paap toh kehte hai, Par kaun aisa hai jo ye paap nahi karta???
Zinda na ho jau tere sahara dekhkar
Laut jati hai duniya gam hamara dekhkar, Jaise laut jaati hai lehere kinara dekhkar. Tum kandha na dena mere janaze ko, Kahi fir se zinda na ho jau tere sahara dekhkar.
Tujhko apna bana liya maine
Dil ki tadap ko kaise lafjo mein bayan karoon, Teri yaad ko kaise apne dil se juda karoon, Dil hi dil mein tujhko apna bana liya maine, Tujh bin guzara kaise main mere meherba karoon.
Har khushi ki uss ke kareeb kar de
Chal kar jahan bhi jaye pholoon ke rastey hon, Manzil har khushi ki uss ke kareeb kar de, Dil mera ab tak kahan mutmain hua hai, Uss ke dukh ko ya rab mera naseeb kar day..!!
Dil ki awaz mein itna asar ho jaye
Kaash is dil ki awaz mein itna asar ho jaye, Hum aapko yaad karein, aur aapko khabar ho jaye, Khuda se maangte hai ki aap jise bhi chaho, Woh zindagi ki raah mein apka humsafar ho jaye.
Mushkil ko manzil samajhte hai
Log har manzil ko mushkil samajhte hai, Hum har mushkil ko manzil samajhte hai, Bada farq hai logon aur humare nazriyee mein, Log dil ko dard aur hum dard ko dil.
Yaado ki halki barish
Waqt ki dundh mein jeena chahata hoon, Yaado ki halki barish mein bheegna chahata hoon, Chahata hoon ki uss gujre waqt ko wapas le aaun, Par waqt toh waqt hai, waqt se har baar maath khata hoo.
Dil pe fida hoke toh dikhaiye
Chehre pe fida toh har koi hota hai, Dil pe fida hoke toh dikhaiye, Jaan lutaane ki baat toh sab karte hai, Dil se kabhi apna maan ke toh dekhiye.
Mohabbat mein kho jaane do
Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do, Har lamha mar ke aaj phir jee jaane do, Isse mahobbat ne dil ko aaj phir dhadkaya hai, Mujhe ishq ki baaho mein so jaane do, Tadap ki aag hai judaai ki baahon mein, Mujhe aaj iss mohabbat se mil jaane do, Meri…
Hamesa hasti raha karo
RAat aur din bus tumhari yaad aati hai, Jab tum hasti ho toh kali kheel jati hai, Jab tum roti ho toh kali sukh jati hai, Hamesa hasti raha karo yahi duwa hai.
Usse juda na kare
Chala ja sms tu banke gulaab, Hogi mohabbat to aayega jawaab, Khuda kisi ko kisi pe fida na kare, Fida kare to phir usse juda na kare.
Hamare iss sawal ka jawab kya doge
Kaanto ke badle phool kya doge Aansoon ke badle khushi kya doge Hum chahate aap se umar bhar ka saath Hamare iss sawal ka jawab kya doge
Fakt teri ek nazar ki khwaish hai
Tujhe pyaar karna mana ki meri bhool hai, Chaha tujhe is kadar ki teri bewafai bhi kabool hai, Fakt teri ek nazar ki khwaish hai, Shayad ishq ke imtihaan mein apni aisi hi azmayish hai
Waqt noor ko benoor kar deta hai
Waqt noor ko benoor kar deta hai Thode se zakham ko nasur kar deta hai Kaun chahta hai apno se door rahna par Waqt sabko majboor kar deta hai.
Zubaan hai sirf ek zariya nahin
Zubaan hai sirf ek zariya nahin, Jo aap shabdo ko samajh payenge, Kabhi aankhon main jhaank kar dekhiye, Hazaroon alfaaz khud ba khud bekhar jayenge…
Har koi milta hai hame mehmaan ki tarah
Dar dar bhatakte hain armaan ki tarah, Har koi milta hai hame mehmaan ki tarah. Khushi ki ummeed kya rakhen iss duniya se, Yeh to gham bhi deti hai toh ek ehsaan ki tarah.
Pyaar ke ujaalo mein
Pyaar ke ujaalo mein gum ka andhera kyu aata hai, Jisko hum chahte hai wohi kyu rulata hai, Mere khuda agar woh mera naseeb nahi, Toh aise logon se kyu milata hai.
Aashikon ke dil mein
Aashikon ke dil mein samandar hota hai, Iski har boond mein ishq hota hai, Jab yeh foot padta hai aankhon se, Toh isse rok paana bada mushkil hota hai.
Tumhare bina duniya bhi nahi dekhi
Tera dard hai ki ro bhi nahi paa rahe hain, Hosh-gum hain, nahi jaante kahan jaa rahe hain, Humne to tumhare bina duniya bhi nahi dekhi, Aaj saari duniya mein khud ko tanha nazar aa rahe hain.
Kaun kiss se dil mein
Kaun kiss se dil mein jaga deta hai, Par bhi sukhe patte gira deta hai, Waqif hum bhi hai duniya ki riwazo se, Matlab nikal jaye toh har koi thukra deta hai.
Woh muskurate pal
Woh yaaron ki mehfil.. Woh muskurate pal.. Dil se juda hai apna beeta hua kal.. Kabhi zindagi guzarti thi hasne hasane mein.. Aaj waqt guzarta hai kaagaz ke note kamaane mein..
Dil ke pinjare main paal ker rakhna
Sanson main daal kar rakhan Dil ke pinjare main paal ker rakhna Toote dil ko sakoon dengi ye yaaden En yadoon ko sada samhal kar rakhna
Nazron se nazren milane ki aadat hai hame
Hame hasne hasane ki adat hai, Nazron se nazren milane ki aadat hai, Par hamari nazar to unse hai ja mili, Jinhe nazren jhuka ke sharmane ki adat hai
Pyaar kar ke jo wafa karte hain
Pyaar kar ke jo wafa karte hain Aise kam log mila karte hain Kyun woh khud hum se nahin keh dete Aur logon se gila karte hain Hum se milne ko woh aajaye kabhi Har ghadi yeh hi dua karte hain Chahte hai unhe ji jaan se hum Bas yahi…
Adhoora ansuna hi reh gaya
Bahut bikhra bahut toota thapede seh nahi paaya, Hawaaon ke isharon par magar mein beh nahi paaya, Adhoora ansuna hi reh gaya yun pyaar ka kissa, Kabhi tum sun nahi paaye, kabhi mein keh nahi paaya.
Jo aansu na hote aankhon me
Jo aansu na hote aankhon me To aankhen itni khoobsoorat na hoti Jo dard na hota dil me To khushi ki kimat pata na hoti Jo bebafayee na ki hoti waqt ne To judai main jine ki adat na hoti
Rehne de aasma zamin ki talash kar
Rehne de aasma zamin ki talash kar, Sab kuch yahi hai na kahi aur talash kar, Har arzu puri ho to jine ka kya maza, Jine k liye bas 1 kami ki talash kar.
Woh hame satate hai
Woh jante hai ki hum unke intezaar mein hai, Issliye shayad woh der laga rahe hai, Waqt guzarta nahi unke bina hamara, Yeh jante hue bhi hame sata rahe hai, Na jane kya milta hai unhe hame yun sata kar, Jo intezaar kara kar bhi woh muskara rahe hai.
Hum bhi dil lekar aaye
Har nazar ko ek nigaah ka hak hai, Har rooh ko ek aah ka hak hai, Hum bhi dil lekar aaye hai is duniya mein, Hamein bhi ek gunaah ka hak hai.
Kitna tadapta hai dil mohabbat ke aage
Bebas hai insaan apni kismat ke aage, Bebas hai sapne haqiqat ke aage, Koi ruki huwi dhadkan se puche , Kitna tadapta hai dil mohabbat ke aage.
Top 30 Best & Latest Hindi Poetry SMS collection
Hindi Poetry SMS