Waqt noor ko benoor kar deta hai
Waqt noor ko benoor kar deta hai Thode se zakham ko nasur kar deta hai Kaun chahta hai apno se door rahna par Waqt sabko majboor kar deta hai.
Zubaan hai sirf ek zariya nahin
Zubaan hai sirf ek zariya nahin, Jo aap shabdo ko samajh payenge, Kabhi aankhon main jhaank kar dekhiye, Hazaroon alfaaz khud ba khud bekhar jayenge…
Har koi milta hai hame mehmaan ki tarah
Dar dar bhatakte hain armaan ki tarah, Har koi milta hai hame mehmaan ki tarah. Khushi ki ummeed kya rakhen iss duniya se, Yeh to gham bhi deti hai toh ek ehsaan ki tarah.
Pyaar ke ujaalo mein
Pyaar ke ujaalo mein gum ka andhera kyu aata hai, Jisko hum chahte hai wohi kyu rulata hai, Mere khuda agar woh mera naseeb nahi, Toh aise logon se kyu milata hai.
Aashikon ke dil mein
Aashikon ke dil mein samandar hota hai, Iski har boond mein ishq hota hai, Jab yeh foot padta hai aankhon se, Toh isse rok paana bada mushkil hota hai.
Tumhare bina duniya bhi nahi dekhi
Tera dard hai ki ro bhi nahi paa rahe hain, Hosh-gum hain, nahi jaante kahan jaa rahe hain, Humne to tumhare bina duniya bhi nahi dekhi, Aaj saari duniya mein khud ko tanha nazar aa rahe hain.
Kaun kiss se dil mein
Kaun kiss se dil mein jaga deta hai, Par bhi sukhe patte gira deta hai, Waqif hum bhi hai duniya ki riwazo se, Matlab nikal jaye toh har koi thukra deta hai.
Woh muskurate pal
Woh yaaron ki mehfil.. Woh muskurate pal.. Dil se juda hai apna beeta hua kal.. Kabhi zindagi guzarti thi hasne hasane mein.. Aaj waqt guzarta hai kaagaz ke note kamaane mein..
Dil ke pinjare main paal ker rakhna
Sanson main daal kar rakhan Dil ke pinjare main paal ker rakhna Toote dil ko sakoon dengi ye yaaden En yadoon ko sada samhal kar rakhna
Nazron se nazren milane ki aadat hai hame
Hame hasne hasane ki adat hai, Nazron se nazren milane ki aadat hai, Par hamari nazar to unse hai ja mili, Jinhe nazren jhuka ke sharmane ki adat hai
Pyaar kar ke jo wafa karte hain
Pyaar kar ke jo wafa karte hain Aise kam log mila karte hain Kyun woh khud hum se nahin keh dete Aur logon se gila karte hain Hum se milne ko woh aajaye kabhi Har ghadi yeh hi dua karte hain Chahte hai unhe ji jaan se hum Bas yahi…
Adhoora ansuna hi reh gaya
Bahut bikhra bahut toota thapede seh nahi paaya, Hawaaon ke isharon par magar mein beh nahi paaya, Adhoora ansuna hi reh gaya yun pyaar ka kissa, Kabhi tum sun nahi paaye, kabhi mein keh nahi paaya.
Jo aansu na hote aankhon me
Jo aansu na hote aankhon me To aankhen itni khoobsoorat na hoti Jo dard na hota dil me To khushi ki kimat pata na hoti Jo bebafayee na ki hoti waqt ne To judai main jine ki adat na hoti
Rehne de aasma zamin ki talash kar
Rehne de aasma zamin ki talash kar, Sab kuch yahi hai na kahi aur talash kar, Har arzu puri ho to jine ka kya maza, Jine k liye bas 1 kami ki talash kar.
Woh hame satate hai
Woh jante hai ki hum unke intezaar mein hai, Issliye shayad woh der laga rahe hai, Waqt guzarta nahi unke bina hamara, Yeh jante hue bhi hame sata rahe hai, Na jane kya milta hai unhe hame yun sata kar, Jo intezaar kara kar bhi woh muskara rahe hai.
Hum bhi dil lekar aaye
Har nazar ko ek nigaah ka hak hai, Har rooh ko ek aah ka hak hai, Hum bhi dil lekar aaye hai is duniya mein, Hamein bhi ek gunaah ka hak hai.
Kitna tadapta hai dil mohabbat ke aage
Bebas hai insaan apni kismat ke aage, Bebas hai sapne haqiqat ke aage, Koi ruki huwi dhadkan se puche , Kitna tadapta hai dil mohabbat ke aage.
Har aanshu ko barsaat samajh lete hain
Dilwale aankhon ki har baat samajh lete hain Sapno mein mil jaye to saugaat samajh lete hain Rota to hai aashmaan v kavi apni jameen k liye Par bewafaa har ek aanshu ko barsaat samajh lete hain
Jisne lakhoon haseen dekhe ho
Patti-patti gulab kya hogi, Har kali mahaj khwab kya hogi ! Jisne lakhoon haseen dekhe ho, Uski niyat kharab kya hogi !!
Mein gumnamiyon ke andheron me jee loon
Mein har dil ka gam apne sine me rakh loon, Mein aapka har ashq rah rah k pee loon, Agar pyaar me sabko manjil mile to, Mein gumnamiyon ke andheron me jee loon
Neend aati nahi aur rat guzar jati hai
Kitini jaldi ye mulaqat guzar jati hai, Pyaas bujhti nahi barsat guzar jati hai, Apni yadoon se keh du na aaya karein, Neend aati nahi aur rat guzar jati hai.
Kash phir se woh takdir mil jae
Kash phir se woh takdir mil jae Jiwan ka sabse hasin pal mil jae Chal phir se banate hai sagar ke reth par makan Shayad waapas apna pyaar mil jae…
Jal jayenge mere armaan
Jal jayenge mere armaan bhar jayegi meri ankhein Bikhre dil ka woh dard na jane kaise main seh paonga Judai se teri jina maut se badtar hoga Mera khuda jane kya me tujhse kabhi woh keh paunga.
Khayalo mein mere
Khayalo mein mere hamesa tu hi aaye, Saason ko meri tu hi mehkaye, Kabhi juda nahi hai tu mujhse meri jaan, Ke marne ke baad bhi tere sang honge mere saaye.
Tere yaado mein khoya rehta hoon
Tere yaado mein khoya rehta hoon, Bheed mein bhi tanha hota hoon, Jab paas hoti hai tu, Band juba se kuch kehta hoon, Yaado mein tere khoya rehta hoon.
Mujhe tum chor mat dena
Mujhe tum chor mat dena, Hazaro doriya aaye Baharein aake kho jaye Mera chehra bhula dena Meri yaadein bacha lena Jo lamhe dard dete hon Unhe beshak bhula dena Jo lamhe aas dete hon Unhe dil se laga lena Kahi bhi door reh lena Bohat majbor reh lena Magar is…
Tum hum se nazar churaoge
Jab sawan mein tanha bhegoge, Jab aangan khaali paaoge, Jab sahil se takrati lehron mein, Tum tanhaa hi kho jaoge, Jab raat ke tanha daman mein Tum chand ko aadha paaoge, Jab khud se batein karte karte, Tum door kahi kho jaaoge, Jab dil ki baat chupanay ko, Tum hum…
Sawan ki ghata
Aankh jab ashk bahaaye toh mujhe likh dena! Jab meri yaad sataaye toh mujhe likh dena! Koi sawan ki ghata jab tere chatt pe aake, Aag si dil mein lagaye toh mujhe likh dena! Shab ke sannate mein jab toota hua dil koi, Dard ka geet sunaye toh mujhe likh…
Kuch paane ki aas
Sab kuch lootkar bhi hum apna, Kuch paane ki aas lagaye baithe hai. Seene mein sulag rahi hai armaan kayi, Jinhe apna dost banaye baithe hai. Jante hai tum saath nahi ho mere, Phir bhi hum tumko apni dhadkan bana baithe hai.
Har kisi ki kismat nahi hoti
Zindagi har kisi ki ek zaisi nahi hoti, Jo kisi matlab se ki jaaye, woh mohabbat nahi hoti, Khwaabon ke aashiyane toh sabhi bana lete hai, Par har khwaab haqeeqat mein badal jaayen, Yeh har kisi ki kismat nahi hoti.
Category: Hindi Poetry SMS
Hindi Poetry SMS