Yaadein teri rakhdi hai sambhal kar
Yaadein teri rakhdi hai sambhal kar, Dur kahi iss dil se nikal kar, Sab kuch toh vapas le liya hai apne door jaa kar, En yaadon ko bhi le jana kisi roz aakar.
Tujhe sochon subha shaam sajan…
Kya likhun tere naam sajan Tujhe sochon subha shaam sajan Tum neeli jheel ka pani ho Mohobat ki ek kahani ho Tum pyar k meethe bol Sajan Tum hr ek se anmol Sajan Tum asman ka badal ho Tum meri ankh ka kajal ho Tum mere man ki jeet sajan…
Ibn_e_Adam Hai Khareedar…
…Bint_e_Hawa ny Khol Rakha Hai Baazaar_e_ Gunah…, …Ibn_e_Adam Hai Khareedar Khuda Khair Kary…
Kabhi Jo Ehsas Ho TumKo…
Kabhi Jo Ehsas Ho TumKo K Tum Acha Nahi Kartey, Jo Mujh Ko Yon Rulaatey Ho Lahoo Mera Jalatey Ho, Ager Iss Aag Main Jal Ker Main Ik Din Raakh Ho Jaon, Mujhay Dil Se Bhula Deyna Samander Mein, Bahaa Deyna Mager Ye Yaad Rakhna Tum KHUDA Se Ye Duaa…
Yaad aati hai
Yaad aati hai toh hum iss dil ko rok lete hain, Aanchal na mile toh ashq haatho se ponch lete hain, Marham na mila toh zakhmon ko bahne dete hain, Dard dil mein rakhkar dhadkan ko sahne dete hain.
Ho jaye jo aap humse khafa
Na kabhi muskurahat aapke hothon se dur ho, Aapki har khwahish hakikat mein manzoor ho, Ho jaye jo aap humse khafa, Khuda na kare humse kabhi aisa kasoor ho.
Mana ke yaadein zindgi nahi
Yaade toh aksar dil ke karib hoti hai, Jo banayi nahi khud-b-khud ban jati hai, Mana ke yaadein zindgi nahi, Magar bina yado ke bhi to koi zindgi nahi.
Rone de tu aaj hamako
Rone de tu aaj hamako tu aankhe sujane de Baho me lele aur khud ko bheeg jane de Hai jo seene me quaid dariya wo chut jayega Hai itana dard ki tera daman bheeg jayega
Aadab-e-Mohabat…
Ye Qayd Sikha Deti Hay Aadab-e-Mohabat, Pinjry May Parinday b Shararat Nhi Kartay, Wo Kon Hain Kis Wastay Iss Dar Pay Paray Hain,, Dewane Kabhi Dasht say hijrat nhi kartay,, Mitt jate hain dunia say wo logg Wasi,, Jo logg kisi say bhi mohabat nahi kartay.
Khuda kisi ko na bakshe yeh tarana
Daman bacha na pyaar hi paya, Usne mohabbat ko ek daag lagaya, Khuda kisi ko na bakshe yeh tarana, Pagal ho jata hai banda sayana.
Nazre mile toh kuch baat ho zara
Kasam unki jo hamein aazmaey baithe hai, Paas rehkar bhi door jake baithe hai, Nazre mile toh kuch baat ho zara, Par kya kare woh nazre jhukae baithe hai.
Khuda har buri nazar se bachaye aapko…
Khuda har buri nazar se bachaye aapko, Chand sitaron se sajaye aapko, Gam kya hota haiye aap bhul hi jaye, Khuda zindagi mein intna hasaye aapko.
Har shaqs mujhe aazmana chahata hai..
Jane kya mujhse yeh zamana chahata hai, Mera dil todkar mujhe hi hasana chahata hai, Jane kya baat jhalakti hai mere chehere se, Har shaqs mujhe aazmana chahata hai.
Devdas ne khilaya paro ko paan
Shehar ki gali mein paan ki dukan Devdas ne dekhi paro ki muskaan Devdas ne khilaya paro ko paan Khake paan paro boli, “Shukriya bhaijaan”
Pyaas kitni bhi ho…
Kisi ke ghar pe pathar marna humne nahi seekha, Pyaas kitni bhi ho magar, kisi se chin ke peena nahi seekha, Chaahe rahen saari umar akele magar, Kisi ke pyaar pe buri najar rakhna humne nahi seekha.
Kal raat hum ghumne nikl
Kal raat hum ghumne nikle, dil mein kuch armaan the, Ek taraf thi jharhhian, ek taraf shmshan the. Raste mein ek haddi paon se takrai, us ke ye bian the Ae insaan jara sambhal ke, hum bhi kabhi insaan the.
Khuda se kya maangu tere vaaste
Khuda se kya maangu tere vaaste Sada khushiyon se bhare ho tere raaste Hansi tere chehre pe rahe is tarah Khushboo phool ka saath nibhati hai jis tarah Sukh itna mile ki tu dukh ko tarse Paisa shohrat izzat raat din barse Aasma ho ya zameen har taraf tera naam…
Tanhaiyon ki aag mein
Jab teri yaad aayi toh koshish ke bawajood, Aankhon mein aansoon ko chupaya na jaa saka, Tanhaiyon ki aag mein hum jal gaye, Magar faasla dilo ka mitaya na jaa saka!!!
Sila manga nahi karty….
Kisi ki aas ban kar phir… usy tanha nahi karty. Bhala kitni bhi mushkil ho, magar ayesa nahi karty. Muhabbat mein shikayat ka kahan dastoor hota hai, Gila kar k, muhabbat ko kabhi ruswa nahi karty. Wafayen dar haqiqat main Bari anmol hoti hain, kabhi apni wafaoun ka Sila manga…
Ulti chaal chalte hai
Woh inkar karte hai ikrar ke liye, Nafrat bhi karte hai toh pyaar ke liye, Ulti chaal chalte hai yeh ishq karne wale, Aankhe band karte hai deedaar ke liye.
Agar ho waqt toh mulakat dijiye
Agar ho waqt toh mulakat dijiye, Dil kuch kehna chahe toh baat kijiye, Yu toh muskil hai humse dur rehna, Par ek lamha mil jaye toh hamko yaad jarur kijiye.
Teri yaadon ke siwa kuch bhi nahi
Jaha mein teri yaadon ke siwa kuch bhi nahi, Dil mein guzri baaton ke siwa kuch bhi nahi, Tu jaha bhi rahe sada khush rahe, Mere lub par duaon ke siwa kuch bi nahi.
Sachcha pyaar ki jaroorat
Barsat ki jaroorat har Registan ko hoti hai, Sitaron ki jaoorat har Aasman ko hoti hai, Aap hame bhool mat jana kyunki, Sachcha pyaar ki jaroorat har insan ko hoti hai.
Yaad nahi karenge har pal
Pyaar mein ajmaish hoti hai, Dil mein milne ki khwaish hoti hai, Aapko hum yaad nahi karenge har pal, Kyunki yaad unhe kiya jata hai, Jinhe bhul jane ki gunjaish hoti hai.
Usse panay ki aas rehti hai
Na jane ye nazar kyu udas rehti hai Na jane isse kis ki talash rehti hai Ye jaan kar k wo kismat me nahi hai Phir bhi usse panay ki aas rehti hai
Hum ko bhool na jaana
Aap ek Mobile ki tarah ho, Khwab mein atey ho SMS ki tarah, Dil mein bas jatay ho Ring Tone ki tarah Mohabbat aapki hai Network ki tarah, Hum ko bhool na jaana Balance ki tarah.
Jee chahta hai
Iss pyaar ki rooh mein utar jane ko jee chahta hai, Apni har sans mein bas unki mehak ko mehsoos karne ka jee chahta hai, Ab yeh dil har pal uske pyaar mein dhadakna chahta hai, Ab khuda ke chand ko chod, Apne chand ki nazro mein doob jane ko…
Ghalib v’s Iqbal v’s FARAZ…
Ghalib v’s Iqbal v’s FARAZ” 1.(GHALIB) Ghalib sharab peene De masjid mein beth kr. Ya wo jagah bata jahan Khuda nahi. 2.(IQBAL) Masjid Khuda ka ghar hy peene ki jagah nahi. Kafir k dil mein ja wahan Khuda nahi. 3.(FARAZ) Kafir k Dil Se aya hon ye Dekh kr Faraz.…
Uss ke ssath hone tak
Jadoo-e-ishq tha uss ke ssath hone tak, Woh musafir tha bichhar gaya raat hone tak, Woh kuch iss kamal se khela tha ishq ki baazi, Main apni jeet samajti rahi har haar hone tak.
Khud ko bhool jate hai
Yeh hum tasleem karte hai, Ke tumhe fursat nahi milti, Magar hamari soch ke mehwar, Kabhi yeh bhi toh zara socho, Ke tumhe hum yaad karte hai, Toh khud ko bhool jate hai.
Top 30 Best & Latest Hindi Poetry SMS collection
Hindi Poetry SMS