Category: Hindi Poetry SMS

Hindi Poetry SMS

  • Mana ke yaadein zindgi nahi

    Yaade toh aksar dil ke karib hoti hai, Jo banayi nahi khud-b-khud ban jati hai, Mana ke yaadein zindgi nahi, Magar bina yado ke bhi to koi zindgi nahi.

  • Rone de tu aaj hamako

    Rone de tu aaj hamako tu aankhe sujane de Baho me lele aur khud ko bheeg jane de Hai jo seene me quaid dariya wo chut jayega Hai itana dard ki tera daman bheeg jayega

  • Aadab-e-Mohabat…

    Ye Qayd Sikha Deti Hay Aadab-e-Mohabat, Pinjry May Parinday b Shararat Nhi Kartay, Wo Kon Hain Kis Wastay Iss Dar Pay Paray Hain,, Dewane Kabhi Dasht say hijrat nhi kartay,, Mitt jate hain dunia say wo logg Wasi,, Jo logg kisi say bhi mohabat nahi kartay.

  • Khuda kisi ko na bakshe yeh tarana

    Daman bacha na pyaar hi paya, Usne mohabbat ko ek daag lagaya, Khuda kisi ko na bakshe yeh tarana, Pagal ho jata hai banda sayana.

  • Nazre mile toh kuch baat ho zara

    Kasam unki jo hamein aazmaey baithe hai, Paas rehkar bhi door jake baithe hai, Nazre mile toh kuch baat ho zara, Par kya kare woh nazre jhukae baithe hai.

  • Khuda har buri nazar se bachaye aapko…

    Khuda har buri nazar se bachaye aapko, Chand sitaron se sajaye aapko, Gam kya hota haiye aap bhul hi jaye, Khuda zindagi mein intna hasaye aapko.

  • Har shaqs mujhe aazmana chahata hai..

    Jane kya mujhse yeh zamana chahata hai, Mera dil todkar mujhe hi hasana chahata hai, Jane kya baat jhalakti hai mere chehere se, Har shaqs mujhe aazmana chahata hai.

  • Devdas ne khilaya paro ko paan

    Shehar ki gali mein paan ki dukan Devdas ne dekhi paro ki muskaan Devdas ne khilaya paro ko paan Khake paan paro boli, “Shukriya bhaijaan”

  • Pyaas kitni bhi ho…

    Kisi ke ghar pe pathar marna humne nahi seekha, Pyaas kitni bhi ho magar, kisi se chin ke peena nahi seekha, Chaahe rahen saari umar akele magar, Kisi ke pyaar pe buri najar rakhna humne nahi seekha.

  • Kal raat hum ghumne nikl

    Kal raat hum ghumne nikle, dil mein kuch armaan the, Ek taraf thi jharhhian, ek taraf shmshan the. Raste mein ek haddi paon se takrai, us ke ye bian the Ae insaan jara sambhal ke, hum bhi kabhi insaan the.

  • Khuda se kya maangu tere vaaste

    Khuda se kya maangu tere vaaste Sada khushiyon se bhare ho tere raaste Hansi tere chehre pe rahe is tarah Khushboo phool ka saath nibhati hai jis tarah Sukh itna mile ki tu dukh ko tarse Paisa shohrat izzat raat din barse Aasma ho ya zameen har taraf tera naam…

  • Tanhaiyon ki aag mein

    Jab teri yaad aayi toh koshish ke bawajood, Aankhon mein aansoon ko chupaya na jaa saka, Tanhaiyon ki aag mein hum jal gaye, Magar faasla dilo ka mitaya na jaa saka!!!

  • Sila manga nahi karty….

    Kisi ki aas ban kar phir… usy tanha nahi karty. Bhala kitni bhi mushkil ho, magar ayesa nahi karty. Muhabbat mein shikayat ka kahan dastoor hota hai, Gila kar k, muhabbat ko kabhi ruswa nahi karty. Wafayen dar haqiqat main Bari anmol hoti hain, kabhi apni wafaoun ka Sila manga…

  • Ulti chaal chalte hai

    Woh inkar karte hai ikrar ke liye, Nafrat bhi karte hai toh pyaar ke liye, Ulti chaal chalte hai yeh ishq karne wale, Aankhe band karte hai deedaar ke liye.

  • Agar ho waqt toh mulakat dijiye

    Agar ho waqt toh mulakat dijiye, Dil kuch kehna chahe toh baat kijiye, Yu toh muskil hai humse dur rehna, Par ek lamha mil jaye toh hamko yaad jarur kijiye.

  • Teri yaadon ke siwa kuch bhi nahi

    Jaha mein teri yaadon ke siwa kuch bhi nahi, Dil mein guzri baaton ke siwa kuch bhi nahi, Tu jaha bhi rahe sada khush rahe, Mere lub par duaon ke siwa kuch bi nahi.

  • Sachcha pyaar ki jaroorat

    Barsat ki jaroorat har Registan ko hoti hai, Sitaron ki jaoorat har Aasman ko hoti hai, Aap hame bhool mat jana kyunki, Sachcha pyaar ki jaroorat har insan ko hoti hai.

  • Yaad nahi karenge har pal

    Pyaar mein ajmaish hoti hai, Dil mein milne ki khwaish hoti hai, Aapko hum yaad nahi karenge har pal, Kyunki yaad unhe kiya jata hai, Jinhe bhul jane ki gunjaish hoti hai.

  • Usse panay ki aas rehti hai

    Na jane ye nazar kyu udas rehti hai Na jane isse kis ki talash rehti hai Ye jaan kar k wo kismat me nahi hai Phir bhi usse panay ki aas rehti hai

  • Hum ko bhool na jaana

    Aap ek Mobile ki tarah ho, Khwab mein atey ho SMS ki tarah, Dil mein bas jatay ho Ring Tone ki tarah Mohabbat aapki hai Network ki tarah, Hum ko bhool na jaana Balance ki tarah.

  • Jee chahta hai

    Iss pyaar ki rooh mein utar jane ko jee chahta hai, Apni har sans mein bas unki mehak ko mehsoos karne ka jee chahta hai, Ab yeh dil har pal uske pyaar mein dhadakna chahta hai, Ab khuda ke chand ko chod, Apne chand ki nazro mein doob jane ko…

  • Ghalib v’s Iqbal v’s FARAZ…

    Ghalib v’s Iqbal v’s FARAZ” 1.(GHALIB) Ghalib sharab peene De masjid mein beth kr. Ya wo jagah bata jahan Khuda nahi. 2.(IQBAL) Masjid Khuda ka ghar hy peene ki jagah nahi. Kafir k dil mein ja wahan Khuda nahi. 3.(FARAZ) Kafir k Dil Se aya hon ye Dekh kr Faraz.…

  • Uss ke ssath hone tak

    Jadoo-e-ishq tha uss ke ssath hone tak, Woh musafir tha bichhar gaya raat hone tak, Woh kuch iss kamal se khela tha ishq ki baazi, Main apni jeet samajti rahi har haar hone tak.

  • Khud ko bhool jate hai

    Yeh hum tasleem karte hai, Ke tumhe fursat nahi milti, Magar hamari soch ke mehwar, Kabhi yeh bhi toh zara socho, Ke tumhe hum yaad karte hai, Toh khud ko bhool jate hai.

  • Tanha rehna toh seekh liya

    Tanha rehna toh seekh liya, Par khush na kabhi reh payenge, Teri doori toh seh leta hai dil, Par tere pyaar ke bin na jee payenge.

  • Log hume jalate rahe

    Hum jal kar bhi roshni failate rahe, Isliye log hume jalate rahe, Mere jalne ko kisi ne dekha hi nahi, Meri roshni pe sab mushkurate rahe.

  • Bas woh rahe khush hamesha,

    Kismat pe na chalta hai zor kisika, Dekha unke haath mein haath kisi aur ka, Bas woh rahe khush hamesha, Chahe ho unke pass saath kisi aur ka.

  • Har mukhra chand sa hai

    Ab talak na khul saka mere ru-b-ru hai kaun, Kisse mulakaatein hai or guf-t-gu hai kaun, Taare hai aashmaan pe jaise jameen pe log, Har mukhra chand sa hai magar hu-b-hu hai kaun.

  • Dil sabke paas hota hai

    Ek sa dil sabke paas hota hai, Phir kyo nahi sabpe vishwas hota hai, Insaan chahe kitna bhi aam kyo na ho, Woh kisi na kisi ke liye jaroor khas hota hai.

  • Waqt haathon se nikal jata hai

    Waqt haathon se nikal jata hai, Sapne aankhon se fisal jate hai, Be-murrabat hai yeh pyaar-mohabbat, Dil ke armaan yaha kuchal jate hai.