Jane kya hai dil ke andar
Jane kya hai dil ke andar jo chupke se toot raha hai, Ek meherbaan ka haath jaise hathon se chooth raha hai, Aankhon mein ashkon ka samandar hai, Lagta hai jaise koi patta shakhon se toot raha hai, Ashkon ko meri aankhon mein rehne ki aadat si ho gayi hai,…
Lafzon ka nahi, rooh ka rishta hai
Teri Khushi se nahi gham se bhi rishta hai mera, Yeh jo zindagi hai woh ek hissa hai mera, aye dost tujhse lafzon ka nahi, Rooh ka rishta hai mera
Dhoka ko hum sab pyaar kehte hai
Jawani ko zindagi ki nikhaar kehte hai, Pathjad ko chaman ka majdhaar kehte hai, Ajeeb chalan hai duniya ka yaaro, Ek dhoka hai jise hum sab pyaar kehte hai.
bolta nahi koi islye zamane se
olta nahi koi islye zamane se k log tot jatay hain faislay sunanay se Kiyon udhas bethay ho is tarhan undheray main Dukh to kam nahi hotay roshni bhujane se…
Roop se aksar pyaar nahi hota
Roop se aksar pyaar nahi hota, Manchaha sapna saakar nahi hota, Har kisi par mat mar mitna mere dost, Har kisi ke dil mein sacha pyar nahi hota.
Tamanna is dil ki rahi
Tamanna is dil ki rahi Khawab me bunti rahi Aazad panchi thi me Duniya ke dastoor me kaid rahi.
Aaj phir tumhe koi yaad kar raha hai
Is sham ki tanhai se, Dard ki gehrai se, Ye dil kuchh baat kar raha hai, Zara samjho in fizaon ki chubhan ko, Aaj phir tumhe koi yaad kar raha hai
Lag jaaye meri umar aap ko
Woh baat kya karun jiski khabar hi na ho Woh dua kya karun jismein asar hi na ho Kaise kah doon aap ko lag jaaye meri umar Kya pata meri umar hi na ho.
Hum nazuk nazuk dil wale…
Hum nazuk nazuk dil wale bus aise hi tu hote hain Kabhi haste hain kabhi rote hain kabhi Dil ma khowab pirotay hain Kabhi mehfil mehfil phirte hain Kabhi zaat mai tanha hote hain Kabhi chup ki mohar sajatay hain Kabhi geet labon per latay hain Kabhi sab ka dil…
Har ek aarzu ko dua nahi milti
Har ek jazbat ko zuba nahi milti, Har ek aarzu ko dua nahi milti, Muskan banaye rakho toh duniya hai sath, Aanshu ko to apni khud k aankh mein bhi panaah nahi milti.
Tutne par chubhte hai
Rishte kaanch ke bane hote hai, Ye tutne par chubhte hai, Hatheli par sambhal kar rakhna inhe, Kyonki inhe tutne mein pal, Aur judne mein barso lagte hai.
Aapne abhi se yaad karna chhod diya
Itna jaldi daaman chhod diya, Itna jaldi vaada tod diya, Abhi to zindagi ke sansein hai baaki, Aur aapne abhi se yaad karna chhod diya
Kash aisa ho k apni dosti qayam rahay…
Kash aisa ho k apni dosti qayam rahay Roz hum miltay rahain aur tashnagi qayam rahay jan lay yunhi woh matlab unkahay alfaz ka Meri khwaish hai k teri sadgi qayam rahay
Hum tumhain pa kar khona nahi chatay
Hum tumhain pa kar khona nahi chatay Judai main apki rona nahi chatay Ap humaray hi rehna humesha pyar bankar Hum bhi kisi aur k hona nahi chatay
Ishq nai kya diya
Ishq ne insaan ko kya diya, Kavi kise katil bana diya, Do phool ka bojh na utha sakti thee Mumtaaz, Aur Shahjahan ne usspe Tajmahel bana diya.
Haseeno ke baal
Yeh jo haseeno ke baal hote hai, Ladkon ko fassane ke jaal hote hai, Na jaane kitno ke khoon piye honge inhone, Tabhi to inke honth laal hote hai.
Koi sms nahi
Koi sms nahi, Koi khabar nahi, Aapko shayadh pyaar ki kadar nahi, Hum tho aapko yaad karte hai sans ke sath, Shayad aapko hamari sanso ki fikar nahi.
Agar mehsoos karo gi to hum ko pao gi
Zindagi ki rahon pe jab aage aage jao gi Peeche ek saaya tum hardum pao gi Mudke dekho gi to tanhayi hogi Agar mehsoos karo gi to hum ko pao gi
Phir chupke se yaad aa gaya koi
Phir chupke se yaad aa gaya koi, Meri aakhon ko phir rulaa gaya koi, Kaise uska shukria aada karen, Mujh naachiz ko shayar bana gaya koi.
USAY ITNA BATA DENA
USAY ITNA BATA DENA…!! Main Us se door ho kr B, Bahut majboor ho kr B, Dukhon se choor ho kr B, Usi ko yaad krti hun, USAY ITNA BATA DENA Main dukh apne chupa kr B, Khushi k geet ga kr B, Hansi honton pr saja kr B, Usi…
Aur unke hath peel ho gaye
Jawani ke din chamkile ho gaye, Husn ke tewar nukile ho gaye, Hum izhar karne me thode dhile ho gaye, Aur unke hath peel ho gaye
Thokar hi insaan ko chalna sikhati hai
Sham suraj ko dhalna sikhati hai, Shama parwane ko jalna sikhati hai, Girne wale ko hoti to hai takleef, Par thokar hi insaan ko chalna sikhati hai.
Tere intezaar mein hui subah se shaam
Tere intezaar mein hui subah se shaam, Teri chahat mein hua ye dil belagaam, Tujhe paane ki aarzoo meri jald ho poori, Ki hothon pe aata hai sirf tera hi naam.
Shama-e-tamanna jawaan aaj bhi hai
Shama-e-tamanna jawaan aaj bhi hai Har hasrat lekin bezuban aaj bhi hai Manzilon ko nahi naseeb mere kaafile to kya Rahon pe mere kadmon ke nishaan aaj bhi hain
Kisi ko palkon par na bithaao
Kisi ko palkon par na bithaao, Wahaan to sirf sapne baste hain, Bithaao to dil mein bithaao, Kyonki yahaan sirf apne baste hain… (’_’)
Achanak pyar ka matlab seekha gaya koi
Dil ki dhadkan ko dhadka gaya koi, Mere khawabon ko mehka gaya koi, Hum to anjaney raston pe chal rahey the, Achanak hi pyaar ka matlab seekha gaya koi
Shayad issi ka naam pyaar hai
Anjaan ek sathi ka is dil ko intejar hai, Pysasi hain ye aankhen aur dil bekarar hai , Unke saath mil jaye to har raah aasaan ho jayegi, Shayad issi anokhey ehsaas ka naam Pyaar hai
Wahi dil ke kareeb hote hai
Ye dosti ke risthe bhi ajeeb hote hai Sab apne apne naseeb hote hai Rehte hai jo nighao se dur Wahi dil ke kareeb hote hai
Hamare alag aik he dunia ho
Chalo phir nafraton ke aag ko apni mohabaton main jakair lain jahan mohabaton ka basera he basera ho sawera he sawera ho na koyi dukh ho na to koye andhera ho hamare alag aik he dunia ho chalo phir hum apni dukhon ko bant lain aur apni khusion key liye…
Berukhi to bas dilbar ka enkar hai
Shayari kuch nahi ye to labjo ka ejhar hai, Berukhi to bas dilbar ka enkar hai, Aashiki wo nahi jo dharkano ko entejar hai, Mohabbat to wo hai jo dil ko dilbar per etvar hai.
Top 30 Best & Latest Hindi Poetry SMS collection
Hindi Poetry SMS