Hum tumhain pa kar khona nahi chatay
Hum tumhain pa kar khona nahi chatay Judai main apki rona nahi chatay Ap humaray hi rehna humesha pyar bankar Hum bhi kisi aur k hona nahi chatay
Ishq nai kya diya
Ishq ne insaan ko kya diya, Kavi kise katil bana diya, Do phool ka bojh na utha sakti thee Mumtaaz, Aur Shahjahan ne usspe Tajmahel bana diya.
Haseeno ke baal
Yeh jo haseeno ke baal hote hai, Ladkon ko fassane ke jaal hote hai, Na jaane kitno ke khoon piye honge inhone, Tabhi to inke honth laal hote hai.
Koi sms nahi
Koi sms nahi, Koi khabar nahi, Aapko shayadh pyaar ki kadar nahi, Hum tho aapko yaad karte hai sans ke sath, Shayad aapko hamari sanso ki fikar nahi.
Agar mehsoos karo gi to hum ko pao gi
Zindagi ki rahon pe jab aage aage jao gi Peeche ek saaya tum hardum pao gi Mudke dekho gi to tanhayi hogi Agar mehsoos karo gi to hum ko pao gi
Phir chupke se yaad aa gaya koi
Phir chupke se yaad aa gaya koi, Meri aakhon ko phir rulaa gaya koi, Kaise uska shukria aada karen, Mujh naachiz ko shayar bana gaya koi.
USAY ITNA BATA DENA
USAY ITNA BATA DENA…!! Main Us se door ho kr B, Bahut majboor ho kr B, Dukhon se choor ho kr B, Usi ko yaad krti hun, USAY ITNA BATA DENA Main dukh apne chupa kr B, Khushi k geet ga kr B, Hansi honton pr saja kr B, Usi…
Aur unke hath peel ho gaye
Jawani ke din chamkile ho gaye, Husn ke tewar nukile ho gaye, Hum izhar karne me thode dhile ho gaye, Aur unke hath peel ho gaye
Thokar hi insaan ko chalna sikhati hai
Sham suraj ko dhalna sikhati hai, Shama parwane ko jalna sikhati hai, Girne wale ko hoti to hai takleef, Par thokar hi insaan ko chalna sikhati hai.
Tere intezaar mein hui subah se shaam
Tere intezaar mein hui subah se shaam, Teri chahat mein hua ye dil belagaam, Tujhe paane ki aarzoo meri jald ho poori, Ki hothon pe aata hai sirf tera hi naam.
Shama-e-tamanna jawaan aaj bhi hai
Shama-e-tamanna jawaan aaj bhi hai Har hasrat lekin bezuban aaj bhi hai Manzilon ko nahi naseeb mere kaafile to kya Rahon pe mere kadmon ke nishaan aaj bhi hain
Kisi ko palkon par na bithaao
Kisi ko palkon par na bithaao, Wahaan to sirf sapne baste hain, Bithaao to dil mein bithaao, Kyonki yahaan sirf apne baste hain… (’_’)
Achanak pyar ka matlab seekha gaya koi
Dil ki dhadkan ko dhadka gaya koi, Mere khawabon ko mehka gaya koi, Hum to anjaney raston pe chal rahey the, Achanak hi pyaar ka matlab seekha gaya koi
Shayad issi ka naam pyaar hai
Anjaan ek sathi ka is dil ko intejar hai, Pysasi hain ye aankhen aur dil bekarar hai , Unke saath mil jaye to har raah aasaan ho jayegi, Shayad issi anokhey ehsaas ka naam Pyaar hai
Wahi dil ke kareeb hote hai
Ye dosti ke risthe bhi ajeeb hote hai Sab apne apne naseeb hote hai Rehte hai jo nighao se dur Wahi dil ke kareeb hote hai
Hamare alag aik he dunia ho
Chalo phir nafraton ke aag ko apni mohabaton main jakair lain jahan mohabaton ka basera he basera ho sawera he sawera ho na koyi dukh ho na to koye andhera ho hamare alag aik he dunia ho chalo phir hum apni dukhon ko bant lain aur apni khusion key liye…
Berukhi to bas dilbar ka enkar hai
Shayari kuch nahi ye to labjo ka ejhar hai, Berukhi to bas dilbar ka enkar hai, Aashiki wo nahi jo dharkano ko entejar hai, Mohabbat to wo hai jo dil ko dilbar per etvar hai.
Mohabbat hoti nahi surat se
Mohabbat hoti nahi surat se, Mohabbat to dil se hoti hai, Surat to unki acchi laghti hai, Jin ki kadar hoti hai dil mein.
Khuda bhi tumarah chahne wala nikla
Humne socha hum sirf chahte hai tumko Par tum ko chahne wala ka to kafila nikla Dil na kaha, kar sikayat khuda se Par khuda bhi tumarah chahne wala nikla.
ACHI TO BOHUT LAGTI HAIN WO JHEEL SI AANKHAIN
ACHI TO BOHUT LAGTI HAIN WO JHEEL SI AANKHAIN DIL IS LIYE DHERKA HAY GEHRAAI BOHUT HAY………
Waha tujh ko hum milenge
Zindagi ki raha mai jo gum milenge, Woh apni zindagi se kam milenge, Jaha duniya nighahe pher legi, Waha tujh ko hum milenge
Na chahate hue bhi yaad hamari aayegi
Har aahat ehsas hamara dilayegi, Har hawa kissa humara sunayegi, Hum itna yadein bhar denge aapki zindagi mein Ki na chahate hue bhi yaad hamari aayegi
Category: Hindi Poetry SMS
Hindi Poetry SMS