• Khuda ko kya manjur, kya nahi

    Kuch na kehakar bahot kuch keha jate hai Likh kar takdeer ham saath aate hai Kisko jindagi ki khusi manjur nahi Par kya pata khuda ko kya manjur, kya nahi

  • Hum tammana rakhte hai

    Tanha tanha batakte hai teri rahoon mein udaas, Dil ka aasra ho.. aisi kaamna karte hain, Jawab toh aayega bhi agar deri se,, Hum tammana rakhte hai umeed ke saans! Dil ek mandir hai, Jahan basera hai dilon ka, Umeed karte hai jinke saath jeene ki, Woh kaamna, tammana liye…

  • Aapka har gham bhula denge

    Sehami si nigaho me khawab hum jaga denge, Suni si raaho mein phool hum bichca denge, Humare sang muskura kar toh dekhiye, Hum aapka har gham bhula denge

  • Mahak mohabbat ki kam nahi hoti

    Mahak mohabbat ki kam nahi hoti, Mohabbat se zindagi kam nahi hoti, Sath zindagi mein ho agar pyaar, To zindagi zannat se kaam nahi hoti.

  • Socha tha sapno mein mulaqat hogi

    Aapki yaad aaye to dil kya kare, yaad dil se na jaye to dil kya kare, socha tha sapno mein mulaqat hogi, magar neend hi na aaye to hum kya karen

  • Mohabbat ki kashti mein

    Mohabbat ki kashti mein sawaar thay hum, Socha tha pohoch jayenge chahat ke gaun mein, Doobne lage toh hosh aya, Hum toh beithe thay kagaz ke naav mein.

  • Kya kahein dunya waalo ko

    Apne hisse ki zindagi to hum jee chuke Ab to bas dharkano ka lihaz karte hain Kya kahein dunya waalo ko jo Aakahri saans par bhi aitraaz karte hain

  • December ab k aao tou

    December ab k aao tou Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa Keh jis mein jugnuon ki kehkashaan jhilmilaati hay Jahan titlee k rangon say fizaain muskarati hain Wahan charon taraf khushboo wafa ki hay Aur us ko jo bhi pooron say Nazar say choo gia pal bhar Mehak…

  • Dil se dil na jaane kab mil jate hai

    Kuch rishte anjane mein ho jate hai, pehle dil phir zindagi se jud jate hain, kehte hai uss daur ko dosti, jisme dil se dil na jaane kab mil jate hai

  • Jiski mujko talaash hai

    Nazar nazar mei har nazar mei Ek nazar ki talaash hai, Par yeh nazar woh nazar nahi Jiski mujko talaash hai

  • Mujhe mout bhi aaye to bhi mat rona

    Meri kisi khata par naraz na hona Apni pyari si muskan kabhi na khona Sukoon milta hai dekh kar aap ki muskurahat ko Mujhe mout bhi aaye to bhi mat rona

  • Kitna Pyar Diya Usy Par Hamara khayal kuch Bhi Nahi,

    Kitna Pyar Diya Usy Par Hamara khayal kuch Bhi Nahi, Itni Gehri Chahat ka Hasil 0 Hisaal kuch Bhi Nahi, Wo Hum se khafa thy to Jan Nikal Gayi thi Hamari, Hum Unse khafa Hain to Unko Malal kuch Bhi Nahi, Is Qadar Dukh Diya Hai Na Jane kis khata…

  • Mujhe saanse bhi parayi si lagti hai

    Yaado ki dhund mein teri parchayi si lagti hai Khamoshi mein gunjti koyi shehnayi si lagti hai Tum kareeb ho to apna pan lagta hai Warna mujhe saanse bhi parayi si lagti hai

  • Unhi raho pe hum un ka intizar karte hain

    Dil hi dil mein hum un se pyar karte hain Chup chap un ki mahabbat ka intezar karte hain Jin raho par un ka chalna mushkil hai Unhi raho pe hum un ka intizar karte hain

  • Yeh Sach Hai Uss Se Ishq Hai Mujhe

    Yeh Sach Hai Uss Se Ishq Hai Mujhe.   Ussay Paa Kr Ehsaas-E-Wafa Hota Hai.   Itna Socha Hai Main Ne UssaySham-0-Sehar.   K Khud Mein Uss K Hone Ka Guman Hota hai

  • Yeh aansu pyaar ka moti hai

    Koi deewana kehta hai koi pagal samajhta hai, Magar dharti ki bechaini ko bas badal samajhta hai, Main tujhse dur kaisa hoon tu mujhse dur kaisi hai, Yeh tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai, Ki mohabbat ek ehsason ki pawan si kahani hai, Yeh sab log kehte…

  • Phool bankar muskarana zindagi hai,

    Phool bankar muskarana zindagi hai, muskarake gum bhulana zindagi hai, jeet kar koi khush ho to kya hua, haar kar khushiya manana bhi zindagi hai…

  • Lag jayen aap ko humari khushiyan

    Gul ne gulshan se gulfam bheja hai, Sitaron ne aasman se salam bheja hai, Lag jayen aap ko humari khushiyan, Hum ne dil se yeh pegham bheja hai

  • Aaj bhi main tujhe karta hoon pyar

    Wo aaye maiyat par meri, karne mohabbat ka izahar, mere bejaan jism ne kaha, mat ro, aaj bhi main tujhe karta hoon pyar.

  • Ashq bankar aankho se na behna kabhi

    Aaj keh diya fir na kehna kabhi, meri nazro se dur tum na rehna kabhi, khushi bankar labzo pe aaye ho tum, Ashq bankar aankho se na behna kabhi

  • Kuch khone ko bhi pyaar kehte hain

    Dil ki awaz ko izhar kehte hai, jhuki nigah ko ikarar kehte hai, sirf paane ka naam ishq nahi, kuch khone ko bhi pyaar kehte hain.

  • Sms to ek bahana hai

    Sms to ek bahana hai, irada to aapka ek lamhe churana hai, aap chahe humse baat karo na karo , phir bhi aapki yadoon mein hamara aana jana hai.

  • Pyar ki aisi kahani chod jayenge.

    Dil mein tumhari apni kami chod jayenge, Aankhon mein intezar ki lakir chod jayenge, Yaad rakhna dhundte rahooge humhe, pyar ki aisi kahani chod jayenge.

  • Tum mujh ko achay lagtay ho

    Ik baat kahoon ager suntay ho Tum mujh ko achay lagtay ho Kuch chanchal say kuch chup chup say Kuch pagal pagal lagtay ho Hain chahnay walay or bohat Per tum main hai ik baat bohat Tum apnay apnay say lagtay ho Ik baat kahoon ager suntay ho Tum mujh…

  • Pane ka armaan toh tha

    Jaise chahte thay hum unhe, Woh bhi humein chahte toh kya baat hoti, Pane ka armaan toh tha, Bin maange mil jaate toh kya baat hoti, Iss dil mein pyaar tha kitna, Woh jaan jaate toh kya baat hoti, Humne maanga tha unhe khuda se, Woh bhi hume maang lete…

  • *I/N/T/E/H/A*

    *I N T E H A* Rothna khafa rehna, Ye Wafa nahi hoti Chahaton mein logon se kya khata nahi hoti Sab ko aik jaisa kyun tum samajhne lagte ho, Kyun k saari duniya to bewafa nahi hoti, Har kisi se yaari har kisi se waaday, Pyar karne walon mein…

  • Tere sang muskurane ki

    Hakikat na puchh mere fasane ki Tere jate hi badal gayi hai nazar zamane ki Log puchhte hain main khush nahi Kya karun meri to aadat thi Tere sang muskurane ki

  • Sach toh yeh hai

    Sach toh yeh hai ke kasoor apna hai, Chand ko choone ki tamanna ki, Aasman ko zameen par maanga, Chaha ke phool pattharon pe khile, Kaanton mein ki talash khushboo ki, Aarzoo ki ke raakh thandak de, Barf mein dhoondte rahe garmi, Khawab jo dekha socha sach ho jaye, Iss…

  • Har dua me unka saath manga

    Pyasi nigaho ne harpal unka dedar manga, Jaise amavas ne har raat chand manga. Ruth gaya woh Khuda bhi humse, Jab humne apni har dua me unka saath manga.

  • Wo ek masoom si chahat…

    (SHAYAD) Wo ek masoom si chahat Wo ek benam si ulfat Wo meri zaat ka hissa Wo meri zeest ka qissa Mujhe mehsus hota hey Wo merey pas hy ab bhi Wo jub jub yad ata hey Nigahon mey samata hy Zuban khamosh hoti hy Magr ye ankh roti hy…