phoolo se kya dosti karte ho
Phoolo se kya dosti karte ho, Phool to murjha jaate hai. Agar dosti karni hai to kaanto se karo, Kyuki wo chubh kar bhi yaad aate hai…
dard ki barish sahi maddham zara aahista chal
Dard Ki Barish Sahi Maddham Zara Aahista Chal, Dil Ki Mitti Hai Abhi Tak Nam Zara Aashista Chal, Tere Milne Aur Phir Tere Bichhad Jane Ke Bich, Faasla Ruswai Ka Hai Zara Aahista Chal, Apne Dil Hi Mein Nahi Hai Uski Mehrumi Ki Yaad, Uski Aankhon Mein Bhi Hai Shabnam…
pather ki yeh duniya jazbat nahi samjhti
PATHAR KI YEH DUNIYA JAZBAT NAHI SAMAJHTI DIL ME HAI JO WOH BAT NAHI SAMAJHTI TANHA TOH CHAND BHI HAI SITARON KE BEECH MAGAR CHAND KA DARD BEWAFA RAAT NAHI SAMAJHTI”
main uska hoon vo is ahsaas se inkar karta hai
Main uska hoon vo is ahsaas se inkar karta hai, bhari mahfil me bhi ruswa mujhe har baar karta hai, yakin hai sari duniya ko khafa hai humse vo lekin, mujhe maloom hai phir bhi mujhise pyar karta hai
hum khamosh the kisi ne Maghroor smjha
Hum Khamosh The Kisi Ne MaghrOor Samjha,,, Hum MajbOor The Kisi Ne Be’Bewafa Samjha,,, Aik Shiqwa Hy Aap Se Hum To Aap K Pas The, Magar Aap Ne DOor Samjha.,,,
yaar ke intezar mein …..
Yaar ke intezar mein dil bekarrar ho jaye, Unke deedar ki ghadi Jaise Bahaar ho jaye. Hamari Bhi rab se yehi dua hai doston, Duniya me sab ko aise hi pyar ho jaye…
kuch rishay anjany mein hi ho jatay hain
Kuch rishtay anjanay mein hi ho jatay hain, Pehle dil phir zindagi say jur jatay hain, Kehtay hain us daur ko pyaar, Jisme log zindagi say bhi pyare ho jatay hain…
pani ankh main bhar k laya ja sakta hai
Pani ankh main bhar k laya ja sakta hai ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai aik mohabat aur wo bhi nakam mobhat lekin is se kam chaleya ja sakta hai
taazi hai abhi pehli molaqat ki khshbu
Taazi hai abi pehli molaqat ki khshbu jazbat me doobi hue lamhat ki khshbu jis hath ko pal bhar k lia tham lya tha muddat se hath me hai usi hath ki khshbu
Armano ki sej par mohabbat ne karwat li hy
Armano ki sej par m0habbat ne karwat li hy Aapke pyar ne aapse ye guzarish ki hy Juda ho ke Bhi juda na hona Nahen to log kahenge DHARKAN ne DIL ki jan li hy
ye saaz.e.jaan to khamosh ek umer se hai
ye saaz.e.jaan to khamosh ek umer se hai agarcha lehja abhi tak rubaab jaisa hai main us k husn ki tareef kis tarha se karun wo aftaab sa wo mahtaab jaisa hai
Aasmaan ke taare aksar pucha karte hain
Aasmaan ke taare aksar pucha karte hain, kiya tumhe ab bhi intezar hain uske laut aane ka? aur dil muskura ke kehta hain.. mujhe to ab bhi yakeen nahi uske jaaney ka!
door reh kar kareeb kitny thay
Door Reh kar kareeb kitnay thay, Faslay bhi Ajeeb kitnay thay, Dard-E-Dil ki Dawa nahi warna, Is jahan mein Tabeb kitnay thay, Umer bhar Sath jo raha Tere, Us k Achay Naseb kitnay thay, Kyun na Aai me Tere sapno mein, Mere Shikway Ajeeb kitnay thay..!!
yaaro ki mehfil aise jamai jati hai
Yaaro ki mehfil aise Jamai Jati hai Kholane se Pehle Botal Hilaayi Jati Hai Fir awaz lagayi Jati hai Aa jao tute dil Walo Yaha dard-e-diL Ki Dawa Pilayi jati hai!
kahan se seekh li tum ne?
adaa nazrain churanay ki kahan se seekh li tum ney? ye adat rooth jany ki kahan se seekh li tum ney ? bharosa tha tumhain mujh per mukamal aj se pehly, riwayat aazmanay ki akahn se seekh li tum ne ? MOHABBAT k ilawa kuch nhi tha teri ankhon me…
younhi hansi hansi main hum
Younhi hansi hansi main hum Dillo’n se khel jaatay hain Koi choti si teekhee baat Koi chubhta hua jumla Koi zehar aalood lehja Koi bezarar si zomaani baat Sunney walay kay dil par ghao laga jati hai.
kash nafrat hum bhi dhar lete unki tarah
Kash nafrat hum bhi dhar lete unki tarah, per yun pathar dil ban janey ki adat nahi… Bhulana to chahte hain hum bhi unhe, per yun kisi ki yaden mitane ki adat nahi…
ek shaiy jo roobaro hai charsoo mere
Ek Shaiy Jo Roobaro Hai Charsoo Mere Tanhai Bas Tu Hi Tu Hai Charsoo Mere Kahaan Kho Gaye Hai Voh Nishaan Mazi Ke Har Naqsh Sa Hubahu Hai Charsoo Mere Ye Kaisi Aahtey Hai Ye Kaisa Shor Ye Kiski Justajoo Hai Charsoo Mere Kai Pehre Hai “fer” Tak Pahunchney Talak…
hadsa banker koi khwab
Hadsa banker koi khwab bikhar jaaye to kya hoga waqt jajbat tapdil nahi kar sakta dur ho jaane se ehsas nahi mar sakta.
Saath chalne main jo maza hota
Saath chalne main jo maza hota Woh humain bhi kabhi mila hota Yeh hi hasrat rahi hamari faqat Saath apne koi chala hota Hum bhatakte rahe the raahon mein koi rasta pata chala hota
methi methi yadon ko palko pay
Methi Methi Yadon ko Palko pay saja lena. Sath Guzre Lamhon ko Dil may Bsa lena Main to Brson ka PYASA hoon tere hi piyar ka
faqat kehny ki batain hain……
Faqat Kehny ki Batain Hain…, Nibhata Kon Hai kis Ko.? Chalo Ab Dekh Lety Hain. Manata Kon Kis Ko Hai.
woh hijar to deta hai judai nahi deta
Woh hijar to deta hai judai nahin deta, Kya tarfa tamasha hai bhujai nahin deta, Mehsoos to hota hai rag-e-jan mein hi aksar, Woh dard ka naghma jo sunaayi nahin deta, Hain bhool bhulayi’an bhi ke rasta nahi milta, Yeh sheher-e-sitam’gar hai rehayi nahin deta,
Zuban khamosh ankhon main nami hogi
Zuban khamosh ankhon main nami hogi Yehi bas ek dastan-e-zindagi hogi Bharne ko to her zakham bhar jayega kaise bharegi wo jagah jahan Teri kami hogi
mujh se rootho na tum khuda k liye
Aese Bichrro Nahin, Sadaa Ke Liye, Mujh Se Rootho Na Tum, Khuda Ke Liye, Main Ne Manga Hai Bas Tumhe Rab Se, Hath Jab Bhi Uthey Dua Ke Liye..
aey chand yahan na nikala kar
Aey Chand Yahan Na Nikala Kar, Be-Naam Se Sapnay Dikhla Kar, Yahan Ulti Ganga Behti Hai, Is dais Mein Andhay hakim Hain, Na Dartay Hain Na Nadim Hain, Na Logon K woh Khadim Hain,
chalo aao mohabbat ki nae bnyaad ,,,,,
Chalo aao Mohabbat ki Nae Bunyaad Rakhty hain Khud Paaband Rehty Hain Usay Aazad Rakhty hain Humary Khoon Mei Rab Ne Yehi Taseer Rakhi hy Buraai Bhool Jaty Hain Achai Yaad Rakhty hain
DIL SE TERA KHIYAL NA JAYE TO KIYA KARON
DIL SE TERA KHIYAL NA JAYE TO KIYA KARON TU HI BATA TU YAAD AYE TO KYA KARON HASRAT YE HAI KI EK NAZAR TUJHE DEKH LON MAGAR KISMAT WO LAMHA NA LAYE TO KYA KARON
seenay se matt laga mujhy dil se laga ka mil
Main tera muntazir hon mujhe muskura ka mil Kab tak tujhe talash karon ab aake mil Youn mil ka phir judai ka lamha na aa sakey Jo Darmian ma hai sub kuch mitha ka mil Ye kya ka hum milain b mulaqaat b na ho Seenay se matt laga mujhy…
kuch bhi kar guzarnay mein dair kitni lagti hai?
Kuch Bhi Kar Guzarnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ? Barf Ke Pighalnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ? Os Ne Hans Kar Dekha Tou Muskura Dye Ham Bhee Zaat Se Nikalnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?
Top 30 Best & Latest Hindi Poetry SMS collection
Hindi Poetry SMS