mujh se rootho na tum khuda k liye
Aese Bichrro Nahin, Sadaa Ke Liye, Mujh Se Rootho Na Tum, Khuda Ke Liye, Main Ne Manga Hai Bas Tumhe Rab Se, Hath Jab Bhi Uthey Dua Ke Liye..
aey chand yahan na nikala kar
Aey Chand Yahan Na Nikala Kar, Be-Naam Se Sapnay Dikhla Kar, Yahan Ulti Ganga Behti Hai, Is dais Mein Andhay hakim Hain, Na Dartay Hain Na Nadim Hain, Na Logon K woh Khadim Hain,
chalo aao mohabbat ki nae bnyaad ,,,,,
Chalo aao Mohabbat ki Nae Bunyaad Rakhty hain Khud Paaband Rehty Hain Usay Aazad Rakhty hain Humary Khoon Mei Rab Ne Yehi Taseer Rakhi hy Buraai Bhool Jaty Hain Achai Yaad Rakhty hain
DIL SE TERA KHIYAL NA JAYE TO KIYA KARON
DIL SE TERA KHIYAL NA JAYE TO KIYA KARON TU HI BATA TU YAAD AYE TO KYA KARON HASRAT YE HAI KI EK NAZAR TUJHE DEKH LON MAGAR KISMAT WO LAMHA NA LAYE TO KYA KARON
seenay se matt laga mujhy dil se laga ka mil
Main tera muntazir hon mujhe muskura ka mil Kab tak tujhe talash karon ab aake mil Youn mil ka phir judai ka lamha na aa sakey Jo Darmian ma hai sub kuch mitha ka mil Ye kya ka hum milain b mulaqaat b na ho Seenay se matt laga mujhy…
kuch bhi kar guzarnay mein dair kitni lagti hai?
Kuch Bhi Kar Guzarnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ? Barf Ke Pighalnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ? Os Ne Hans Kar Dekha Tou Muskura Dye Ham Bhee Zaat Se Nikalnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?
tamnna se ni tanhai se darte ha
Tamnna Se Ni Tanhai Se Darte Ha Pyar Se Ni Ruswai Se Darte Ha Milne Ki Chaht To Bahut Ha Par Milan K Baad Ki Judai Se Darte Ha
Soch ko badlo, sitare badal jayeng,
Soch ko badlo, sitare badal jayeng, Najar ko badlo, nazare badal jayenge, Kashtiya badalne ki jarurat nahi, Dishaon ko badlo, KINARE badal jayenge.
Apni yaadon se keh do is tarah naa aaya kare
Kitni jaldi mulaqat guzar jaati hai, Pyaas bujhti nahin barsat guzar jaati hai. Apni yaadon se keh do is tarah naa aaya kare, Neend aati nahi aur raat guzar jaati hai.
Bhot darr lagta hai
Boht Darr Lagta Hai Mujhay Raat K Us Peher Sa Utarti Hain Jab Dil K Aangan main YAADAIN Us Ki . .
takleef aur mohabbat
TAKLEEF aur MOHABBAT Dono Insan ko Anso dye Jati hain. Lekin Aik farq hai.. TAKLEEF Kabi na Kabi Khtm ho Jati hy Mgr MOHABBAT kabi khtm nahi hoti .
uss morr se shuru krne aa phir se zindagi
Uss morr se shuru karein aa phir se zindagi, Har shay jahan haseen thi aur hum TUM te ajnabi….!
unki nigahe kya kamal krti he
Unki Nigahe Kya Kamal Karti He Kabhi Haqiqat To Kabhi Afsane Bayan Karti He Tham Si Jati He Us Pal Dhadkane Jab Unki Jhuki Palke Mohobbat Ka Izhaar Karti Hai.
ise tum mera sapna mat smjhna
Likhte hai hum kisi aur k liye, Mere dard ko tum apna mat samjhna. Haqiqat me hum unhe chahte hai bepanah, Ise tum mera sapna mat samjhna.’
mere dil bhi wakeel uska
Kis kadar karu ‘mukaddma main uper uski bewafai ke, Mera dil bhi ‘wakeel’ uska,
aye khuda log banaye ,,,,,,,,
Aye Khuda log banaye thy pathar ke agar, Mery ehsas ko sheeshay sa na banaya hota..
Woh nadiyan nahi ansu they mery
Woh nadiyan nahi ansu they mery jin per woh kashti chalate rahe Manzil mile unhain yeh chahat thi meri isliye hum aansu bahate rahe
Woh inkar karte hain ikrar k liye,
Woh inkar karte hain ikrar k liye, Nafrat bhi karte hain to pyar ke liye, Ulti chal chalte hain yeh ishq wale, Ankhein band karte hain didar k liye
sahil,rait samander,
Sahil, rait, samander, lehrain.. Basti, jungl, sehra, darya.. khushboo, Mosam, phool dareechey.. Badal,suraj,chand,si tarey.. Aj ye sb kch naam tmhare Khuwab ki batain ,yad k qissey.. Soch k pehlu,neend k lamhe.. Dard k ansu,chain k nagmay.. Urtey waqt k behte dharey.. Aj ye sb kch naam tmhare…
kuch batein tumse karni hain
1 Nam Tmhara Likhna Hai 1 Nam Hamien Ban Jana Hai Kuch Batein Tm Se Karni hain Kuch Dil Ka Hal Sunana Hai
muskarahat hai husan kaa zevar
bolaa karo bulaayaa karo aap kaa ghar hai aayaa jaayaa karo muskurahaT hai husn kaa zevar Dhataa hai muskuraayaa karo
Chand sitaaron se kyaa puchhuu
chaa.Nd sitaaro.n se kyaa puchhuu. kab din mere phirate hai. vo to bechaare Khud hai.n bhikaarii Dere Dere phirate hai.n jin galiyo.n me.n ham ne sukh kii sej pe raate.n kaaTii thii.n un galiyo.n me.n vyaakul hokar saa.Njh savere phirate hai.n
Dunya se jaraha hon chupa k kafan main mon
Dunya se jaraha hon chupa k kafan main mon Afsos bad marne k aye haya mujhay…
kuch khona kuch paana
Kuch khona kuch paana chalata rehata hai – saanson ka afsaana chalata rehata hai – Kuch khona kuch paana chalata rehata hai-
bina kahe hi
Bina kahe hi mera har dard jaan leta hai.. Mujse le kar meri yaaden sambhal rakhta hai…
Tum haqeeqat nahi ho hasrat ho
Tum haqeeqat nahi ho hasrat ho” jo miley khawab main wahi dolat ho kiss liye dekhti ho aaina tum to khud se b zeyada khubsurat ho…….
Tumse jo keh na sake
Aaj tak jo hum tumse keh na sake, Aaj wazahat se iqrar karte hai jise, Tum rooz dekhte ho aainay mein isse, Hum bepanah pyaar karte hai.
Dekha nahi tanhai main tumne kabhi usko…
Dekha nahi tanhai main tumne kabhi usko bichray huay logon ko woh roya bhi buhat hai kuch tujhko mohabbat pe yaqin tha na wafa pe Kuch dukh meri taqdeer main likha bhi buhat hai
Hum bhi hain ujray huay shehar ki misal
Hum bhi hain ujray huay shehar ki misal Ankhain bata rahi hain k veran tum bhi ho
Ae dost tu dil ke aur paas aane laga
Tumse doori ka ehsaas jab satane laga, Tere saath guzra har lamha yaad aane laga, Jab bhi tumhe bhulne ki koshish ki, Ae dost tu dil ke aur paas aane laga.
Category: Hindi Poetry SMS
Hindi Poetry SMS