hindi-ghazal-sms hindi-sad-sms

Aaj bhi hai…

    Yaadon se rishta kal bhi tha yaadon se rishta aaj bhi hai
    Dil kal bhi apna dukhta tha aur afsurdaa sa aaj bhi hai

    Woh ishq jo hum tum karte thay woh ishq toh zinda ab bhi hai
    Kal tak jo hijar satata tha uss hijar ka pehra aaj bhi hai

    Tum door hue majboori mein hum toot gaye iss doori mein
    Kabhi waqt mile toh aa jana dil ka darwaaza khula aaj bhi hai

    Woh sahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde sahil par
    Woh naam darakhtoon per likhna woh khwaab suhaana aaj bhi hai

    Tum khush rehna dil ki duniya apni toh chalo barbaad hoi
    Dil gham ka maara kal bhi tha aur gham ka maara aaj bhi hai

    Yeh ashk nahi hai aankhon mein yeh taare jhilmil karte hai
    In aankhon mein jo kal tak tha woh chaand sa chehra aaj bhi hai

    Ab shikwa kisi se kya karna taqdeer mein jo likha tha mila
    Gham kal bhi mera sarmaya tha gham mera warsa aaj bhi hai

    Yaadon se rishta kal bhi tha yaadon se rishta aaj bhi hai Dil kal bhi apna dukhta tha aur afsurdaa sa aaj bhi hai Woh ishq jo hum tum karte thay woh ishq toh zinda ab bhi hai Kal tak jo hijar satata tha uss hijar ka pehra aaj bhi…