hindi-ghazal-sms hindi-poetry-sms

December ab k aao tou

    December ab k aao tou
    Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa
    Keh jis mein jugnuon ki kehkashaan jhilmilaati hay
    Jahan titlee k rangon say fizaain muskarati hain
    Wahan charon taraf khushboo wafa ki hay
    Aur us ko jo bhi pooron say
    Nazar say choo gia pal bhar
    Mehak utha!

    December ab ka aao tou
    Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa
    Jahan per rait k zarray sitaray hain
    Gul o bulbul,Mah o anjum wafa k ista’aray hain
    Jahan dil woh samandar hay jis k kai kinaray hain!

    December hum say na poocho hamaray shehar ki baabat
    Yahan aankhon mein guzray kaarwan ki gard thehri hay
    Muhabbat barf jaisee hay yahan
    Yahan dil k lahoo mein
    Apni palkon ko dabo ker hum
    Sunehray khawb buntay hain
    Phir unhi khawbon mein jeetay hain
    Unhi khawbon pe mertay hain
    Dareeda rooh ko lafzon say seena gou nahee mumkin
    Magar phir bhi!

    December ab k aaou tou
    Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa!!!

    December ab k aao tou Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa Keh jis mein jugnuon ki kehkashaan jhilmilaati hay Jahan titlee k rangon say fizaain muskarati hain Wahan charon taraf khushboo wafa ki hay Aur us ko jo bhi pooron say Nazar say choo gia pal bhar Mehak…