hindi-ghazal-sms

maayel e lutf , tbiyat kabhi aesi to na thi

    Maayel e lutf, tabiyat kabhi aesi to na thi,
    Aap ko mujh se mohabbat kabhi aesi to na thi,
    Aaj be’waqt kidar aap nikal aaye hain,
    Aap ko meri zaroorat kabhi aesi to na thi,
    Haal per mere tawajoh, meri har baat per jee,
    Ab jo hai mujh pe inaayat kabhi aesi to na thi,
    Ab to har waqt hi maathey per shikan rehti hai,
    Aayina dekhiye, surat kabhi aesi to na thi,
    Kuch to hai aap ke andaaz-e-sitam ka baayes,
    Aaye din shikwa shikayat kabhi aesi to na thi,
    Hijar mein aap ne ik umar guzaari hai Naseer,
    Beqarari ki yeh haalat kabhi aesi to na thi..

    Maayel e lutf, tabiyat kabhi aesi to na thi, Aap ko mujh se mohabbat kabhi aesi to na thi, Aaj be’waqt kidar aap nikal aaye hain, Aap ko meri zaroorat kabhi aesi to na thi, Haal per mere tawajoh, meri har baat per jee, Ab jo hai mujh pe inaayat…