ghazal-sms

Main tumharay aks ki aarzoo mein bass aayina hi bani rahi

    Main tumharay aks ki aarzoo mein bass aayina hi bani rahi
    Kabhi tum na samnay aa sakay, kabhi mujh pay gard pari rahi
    Woh ajeeb shaam thi,aaj tak meray dil mein uss ka malal hai
    Meri tarah jo teri muntazir, teray rastay mein khari rahi
    Kabhi waqf-e-hijr main ho gaei,kabhi khwab-e-wasl mein kho gaei
    Main faqeer-e-ishq bani rahi, main aseer-e-yaad huwi rahi
    Bari khamshi say sarak kay phir meray dil kay gird lipat gaei
    Woh rida-e-abr-e-sfed jo sar-e-kohsar tani rahi
    Huwi uss say jabb meri baat bhi,thi shareek-e-dard woh zaat bhi
    To na janay kon si cheez ki meri zindgi mein kami rahi

    Main tumharay aks ki aarzoo mein bass aayina hi bani rahi Kabhi tum na samnay aa sakay, kabhi mujh pay gard pari rahi Woh ajeeb shaam thi,aaj tak meray dil mein uss ka malal hai Meri tarah jo teri muntazir, teray rastay mein khari rahi Kabhi waqf-e-hijr main ho gaei,kabhi…