Apne ghar phook ke dekhe hain ujale hamne
Raste khud hi tabahi ke nikale hamne, Kar diya dil kissi patthar ke hawale hamne, Hamko malum hai kya shai hai mohabbat logon, Apne ghar phook ke dekhe hain ujale hamne.
Mujko kabhi tum yaad na karna
Hamari khushi ki baghwan se firyad na karna, Bhula dena mujko kabhi tum yaad na karna, Kiya barbad tune mujhe yeh meri badnasibi thi, Iltaza hai kisi aur ko yun barbad na karna…
Mein to iss aas per jee raha
Zindagi ae zindagi humein Tum se koyi tamanna kab hai Mein to iss aas per jee raha Hoon ke marna kab hai.
In ankhon main aansu aye na hotay,
In ankhon main aansu aye na hotay, Agar tum pichay mur ker muskuraye na hotay, Tumharay janay k baad yeh ghum hota hay, Kaash tum zindagi main aye hi na hotay….
Yaad ko dil se juda karenge
Unke bewafai par wafa hum karenge, Yaad ko unki dil se juda hum karenge, Itna chaha phir bhi yakeen nahi, Aise zindagi jee kar kya karenge.
Hindi ASCII SMS Messages Collection is almost similar to english ascii sms messages but in Hindi ASCII SMS Messages Collection we add some hindi and roman urdu words as well.
Khuwab dekha bhi nahi aur toot gaya
Khuwab dekha bhi nahi aur toot gaya, Woh hum se mila bhi nahi aur rooth gaya , Hum jagtay rahe aur duniya soti rahi, Ek akeli barish thi jo sath roti rahi.
Kaash k usay
Kaash k usay chahnay ka arman na hota, main hosh main hote howay anjaan na hota, yeh pyaar na hota kisi patthar dil se hamain, ya koi patthar dil insan na hota.
Sapno se dil lagane ki adat nahi rehi
Sapno se dil lagane ki adat nahi rehi, Har waqt muskurane ki adat nahi rehi, Yeh soch kar k, koi manane nahi ayega, Ab humari ruth jane ki adat nahi rehi.
Woh sagar nahi aansoo the mere
Woh sagar nahi aansoo the mere, Jispar woh kashti chalate rahe. Manzil mile unhe yeh aarzo thi meri, Issliye hum aansoo bahate rahe.
Aansu ki kismat
Honto ki juban yeh aansu kehte hai, Jo chup rehte hai phir bhi behte hai, Aur in aansu ki kismat to dekhiye, Yeh unke liye behte hai jo in aankho mein rehte hai.
Bahut der se barbad kiya
Dil ki choton ne kabhi chain se rehne na diya, Jab chali sard hawa maine tujhe yaad kiya, Iska rona nahi kyo tumne kiya hai barbad, Iska gam hai k bahut der se barbad kiya.
Tum hi ne tod diya
Yehi wafaa ka silaah hai, toh koi baat nahi Yeh dard tum ne diya hai, toh koi baat nahi Yehi bahot hai ke tum dekhte ho sahil se Safeena doob raha hai, toh koi baat nahi Rakha tha aashiyana-e-dil mein chupa ke tumko Woh ghar tumne chor diya hai toh…
Dil ka dard
Dil ka dard jab panno par aa jata hai Ek aansu bhi dariya ban jata hai. Dil k tutne ki aawaz bhi nahi aur Sara dard gazal ban jata hai.
Aansu banaya hota
Kaash banane wale ne humko aansu banaya hota, Aur mehboob ki aankho mein basaya hota, Jab girte unki aankho se unki hi godh mein, To marne ka maza kuch alag hi aaya hota.
Dard se chahat aur jawan hoti hai…
Aankhen to pyar mein dil ki jubaan hoti hai, Sachi chhat to sada bezubaan hoti hai, Pyar mein dard bhii mile to kya ghabrana , Suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai.
Sari mehfil ko rula dete
Kahan koi aisa mila jis par duniya luta dete, Har ek ne dhoka diya kis-kis ko bhoola dete, Apne dil ka dard dil mein hi dabake rakha, Karte bayan to sari mehfil ko rula dete.
Chand lamho ki zindgani hai
Chand lamho ki zindgani hai Nafraton say jia nahi karte Lagta hai aab dushmano se guzarish karni pardae gi, Kyun ki dost toh yaad kiya nahi karte.
Phir na jane kyon badal jaate hai
Vishwas banke log zindagi mein aate hain, Khwab banke aakhon mein sama jate hai, Pehle yakeen dilate hai ki woh hamare hai, Phir na jane kyon badal jaate hai.
Baharon ne saath chhoda
Kadam kadam pe baharon ne saath chhoda, Zaroorat padne par yaaron ne saath chhoda, Vaada kiya sitaron ne saath dene ka, Subah hone par sitaron ne bhi saath chhoda.
Dil lagi ki kisi ko aisi saja na mile
Dil lagi ki kisi ko aisi saja na mile, Pyaar ke bina jini pade zindgi aisi kisi ko maut na mile, Kam se kam sambhalne ke liye dosto ka sahara toh mile, Zindgi mein sabki din hai 4, Unme kisi ko itne gam na mile, Mohabbat hoti nahi sabse zindgi…
Dard se dosti ho gayi
Dard se dosti ho gayi yaaroo, Zindagi bedard ho gayi yaaroo, Kya huwa jo jal gaya aashiyana hamara, Door tak roshni to ho gayi yaaroo.
Tunein humein yun bahadia
Aaj unhe yaad karte karte ankhon se ansu agaye behete behete chehre pe ruk sa gaya, kehne laga hum uski agosh me dham todenge Jis k liye tunein humein yun bahadia
Mujhe thaam le zindagi
Issi lagi udas sar-e-sham zindagi, Jaise ussi ki aankh ka ho ilzam zindagi, Apne jahan mein dekha tera bad kuch na tha, Hum ne laga di kab ki tere naam zindgi, Jiss ke bina yeh saans mujhe doobti lagi, Ab doston ke haath mere haath mein nahi, Girne laga hon…
Unki doori ka gham nahi mujhe
Uss se kehna hum mazay mein hai Bas yaadein bohat satati hai, Unki doori ka gham nahi mujhe, Bas zara aankhein bheeg jati hain.
Use bhulana sake
Apne dil ki duniya me us ko bula na sake, Buhat kosish ki magar use pa na sake, Kisi or ko bana liya us ne apna, Phir bhi akhri dum tak use bhulana sakeâ?¦
Kisi diljale ko koi apna
Kisi diljale ko koi apna banana kyun chahee ga, Bekar mai koi apna dil jalana kon chahee ga, Dikhawa hai ye muhbaat warna , Piyaar mai mith ja na kyun chahee gaâ?¦
Main tanha tha
Kuch din toh baso merii aankhon mein Phir khuwab agar ho jaao toh kya Koi rang toh do mere chehre ko Phir zakhm agar mehkao toh kya Ek ainaa tha so toot gayaa Ab Khud se agar sharmaao toh kya Main tanha tha main tanhaa huun Tum aao toh kya…
Dont break my heart
How do I ever forget the person… Who steals my heart… Who teaches me how to love… Then who breaks it apart?
Yaad na karoge toh bhula bhi na sakoge
Yaad na karoge toh bhula bhi na sakoge, mera khayal dil se mita bhi na sakoge, ek baar jo tum mere gum dekh lo, toh phir saari zindagi muskura bhi na sakoge..