Dikhawa hai yeh mahobaat
Kisi diljale ko koi apna banana kyun chahega, Bekar mein koi apna dil jalana kon chahega, Dikhawa hai yeh mahobaat warna, Pyaar mein mith jana kyun chahega?
Dil banane wale
Dil banane wale iss dil ko kaanch ka banaya hota, Isse todne wale ke haath par zakhm toh aaya hota, Jab bhi dekhte woh apne haath ko, Na chahkar bhi unhe hamara khayal toh aaya hota.
Chahat thi unke ishq mein fanna hone ki
Pyar wo hame bepana kar gaye, Fir zindagi mein hamko tanha kar gaye.. Chahat thi unke ishq mein fanna hone ki, Par woh lout kar aane ko bi mana kar gaye..
Lehro se milkar
Lehro se milkar na woh beh sake na hum, Ek duje ke dil mein na woh reh sake na hum, Jeet lete aasma ek din lekin, palkon ke khamoshi ko, Hoton se na woh keh sake na hum.
Na pooch meri sabr ki inteha
Na pooch meri sabr ki inteha kahan tak hai, Tu karle sitam jahan tak teri takat hai, Wafaa ki umeed jinhe hogi unhe hogi, Humein to dekhna hai tu bewafaa kahan tak hai.
Teri judai hi iska karan hai..
Teri mohabbat pe sakh kar ke Humne aapne aapko kamzor sabit kiya hai.. Maaf karde humein iss kahta pe Aakhir teri judai hi iska karan hai..
Tunein humein yun bahadia
Aaj unhe yaad karte karte ankhon se ansu agaye behete behete chehre pe ruk sa gaya, kehne laga hum uski agosh me dham todenge Jis k liye tunein humein yun bahadia
Dil ka dard tum samajh na sake
Dil ka dard tum samajh na sake, Humare dil ko yaaad kar na sake, Koi aur ho to baat samjh sakenge, Varna sakun dil ko dila na sakenge!
Meri bhi aapse judai hogi
Suna hai kisi gair ne ye khabar udai hogi, Ek din meri bhi aapse judai hogi, Badi shaan se rahenge hum apke dil main, Itne dino me kuch to jagah banai hogi!!
Zindagi bhi lagne lagi hai kam
Duniya ne diye hume itne gum ke Ek zindagi bhi lagne lagi hai kam Yun toh sauk hai todne ki uski bhon mein dum, Lekin kya kare phir bhi woh jalim Kahegi ke bewaafa hai hum.
Munasib nahi hai jeena
Zindagi kuchh adhuri si lage tere pyaar ke bina, Munasib nahi hai jeena mere liye tere saath ke bina, Chhodkar teri chahat..Parai lage dunia saari, Is dil ne seekha nahi dhadakna teri yaad ke bina.
Ye aansu na hote
Jo na hoti mohabbat ye aansu na hote, Dil bhi na khota aaj tanha na rota, Diwano si apni ye halat na hoti, Agar jahan mein kambakhat, Kaash ye mohabbat na hoti.
Bewafai ka mahool hota hai
Bada afsoos hota hai jab aapka zikra hota hai Toh bewafai ka mahool hota hai.. Jaanta hun aap bewafa nahi ho magar Dard toh iss dil ko hota hai..
Pyaar ki seema
Kehte hai pyaar ki seema nahi hoti, Yeh toh dhoka hai jo sab kehte hai, Pyaar ki seema honi chaiye, Taki koi dil kisi aur dil ka na ho jaye.
Kash pyaar ka insurance ho jata
Kash PYAAR ka insurance ho jata Pyaar karne se pahle premium bharwaya jata, Pyaar me wafa mili to thik, Warna bewafao pe jo kharcha hota, Uska claim to mil jata.
Hum bhi wahi dil bhi wahi
Taraste they jo milne ko kabhi, Aaj wo kyon mere saaye se katrate hain. Hum bhi wahi dil bhi wahi, Na jane kyon log badal jate hai….!!!!
Phir yaad aati hai uss bewafa
Najane kyun yeh dil itna dukhta hai, Aankhon mein hai aansu magar kyun nahi yeh behta, Kaap utthi hai rooh jab naam unka leta hai koi, Aur phir yaad aati hai uss bewafa ki jo dhadkta tha kabhi.
Na thi jisko mere pyaar ki kadar
Naam uska likhkar mita raha tha main, Dil ko apne yun apne jala raha tha main, Na thi jisko mere pyaar ki kadar, Iktefaq se ussi ko chah raha tha main, Ussi diye ne jalaya mere lahu ko, Jisko hawa se bacha raha tha main.
Bina batae bewafai mat karna
Kabhi kisi se zikre-judai mat karna, Is dost se kabhi ruswayi mat karna, Jab dil uth jaye hamari dosti se to bata dena, Bina batae bewafai mat karna.
Dil shishe ka banaya hota
Kash ke banane wale ne ye dil SHISHE ka banaya hota, Taki isse todne wale ke haath mein bhi jakham toh aaya hota.
Bewafae bhi wafa lagne lagi
Isstarah se nibhaie hai bewafae aapne Ke appki bewafae bhi hume wafa lagne lagi.
Bewafa sanam
Kaliyon ke khusboo mein tumhare saanso ko dhoond rahein hai, Barsat ke boondo ko sagar mein dhoond rahein hai, Kuch is tarah bewafa sanam mein pyaar dhoond rahei hai.
Aadat si pad gai hai udas rahne ki
Kisi ki aashao ke sahare jine mein kya rakha hai, Kisi ko darde dil sunane mein kya rakha hai, Ab toh aadat si pad gai hai udas rahne ki, Varna udas rahne mein kya rakha hai.
Jinke liye hum mar mite
Na socha tha jinke liye hum mar mite, Ek din vahi humse door ho jayegea, Jine ki tamanna toh hum bhi rakhte thay, Ab Tere bina kaise ji payege.
Zindagi bhar ki judai
Mohabbat toh har koi karte hai, Phir kyu haatho ki lakiro mein uski naam nahi hoti hai, Irade toh har ashiq ki neek hai, Phir kyu zindagi bhar ki judai ki saza milti hai.
Aise umeed na kiya karo
Hawa main diya lagakar na bujhne ki umeed mat kiya karo Bujh jayegi diya sahi jagha ki talash kiya karo Bina bataye, bina jataye koi maan ki dard jane Aise umeed na kiya karo Khud talasho vaise humdard ko Kisi aash pe na baitha karo.
Bhoolna tum ko hamarey liye namumkin hai
Chahoo jo meri khataoon ki saza do mujh ko Per khata kya hai zara itna bata do mujh ko Mainey chaha tha tumhein aisey tu aakhir kyun kar In wafaoon ke siley aisi wafa do mujh ko Bhoolna tum ko hamarey liye namumkin hai Jo ho sakey toh sanam tum…
Karte hai jindagi ki tamana
Kabhi karte hai jindagi ki tamana, Kabhi mout ka intezar karte hai, Woh humse kyu door rehte hai, Jineh hum jindagi se bhi zyada pyaar karte hai!
Phoolon se bhi jakhm khaye hai
Tum gairon ki baat karte ho, Humne toh apne ko bhi aajmaye hai, Log kaanto se bach ke chalte hai, Humne toh phoolon se bhi jakhm khaye hai.
Aankhein muskurati hai
Waqt ne iss qadar uss gam ko bhi bhula diya, Jab main jita tha har roz sirf ghut ghut kar, Meri tanhai meri haqiqat ko bayan karti hai, Aaj bhi aankhein muskurati hai toh bas nam ho kar.