hindi-ghazal-sms hindi-poetry-sms

teri khushbu ka pata karti hai

    teri khushbu ka pata karti hai
    mujh pe ehsan hawa karti hai

    shab ki tanhai main ab to aksar
    guftagu tujh se raha karti hai

    dil ko us rah pe chalna hi nahin
    jo mujhe tujh se juda karti hai

    zindagi meri thi lekin ab to
    tere kahne main raha karti hai

    us ne dekha hi nahin warna ye ankh
    dil ka ehwal kaha karti hai

    beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht
    ret par nam likha karti hai

    sham parte hi kisi shakhs ki yad
    kucha-e-jan main sada karti hai

    mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk
    hal jo tera ana??? karti hai

    dukh hua karta hai kuch aur bayan
    bat kuch aur hua karti hai

    abr barse to inayat us ki
    shakh to sirf dua karti hai

    masla jab bhi utha chiragon ka
    faisala sirf hawa karti hai

    teri khushbu ka pata karti hai mujh pe ehsan hawa karti hai shab ki tanhai main ab to aksar guftagu tujh se raha karti hai dil ko us rah pe chalna hi nahin jo mujhe tujh se juda karti hai zindagi meri thi lekin ab to tere kahne main raha…