Tum hi ne tod diya
Yehi wafaa ka silaah hai, toh koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, toh koi baat nahi
Yehi bahot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, toh koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil mein chupa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai toh koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai toh koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai toh koi baat nahi
Ishq ke phool bhi khilte hai, bikhar jaate hai
Zakhm kaise bhi hon, kuch roze mein bhar jaate hai
Uss khwabon mein ab koi nahi aur hum bhi nahi
Itne roze se aaye hai, chup chaap guzar jaate hai
Nurm aawaaz, bholi baatain, mohazzab lehjaa
Pehle baarish mein hi, sab rang utar jaate hai
Rasta roke khadi hai, wahi uljhan kab se
Koi puche toh kahen kya ke kidhar jaate hai
Related posts:
- Suna hai tumhari ik nigah se qatal hotay hain log FARAZ
- Jisne humko chaha, use hum chah na sake
- Buss tum ko hi paati hoon
- Wafa na sahi bewafayi to milti hai
- Dil jo tut gaya to fariyad karoge tum
- Chahat pe marte hai hum
- Pal pal tarse
- Takleef to tab hoti ha
- Jiss ne hum ko chaha
- Kabhi dil ko jalake roye
- Suhana manzilo ke safar per
- Aaj hum unhe bewafa bata kar aaye hai
- Vaade bhi usne kya khoob nibhaye hain
- Chaand badlo me kho gaya
- Hazaro kushiyan kam hai
- Dil banane wale
- Use bhulana sake
- Zakhm dil ka kise dikhyen hum
- Kash ye dil apne Ikhtiyar
- magar karib hai har pal k liya
Yehi wafaa ka silaah hai, toh koi baat nahi Yeh dard tum ne diya hai, toh koi baat nahi Yehi bahot hai ke tum dekhte ho sahil se Safeena doob raha hai, toh koi baat nahi Rakha tha aashiyana-e-dil mein chupa ke tumko Woh ghar tumne chor diya hai toh…
Yehi wafaa ka silaah hai, toh koi baat nahi Yeh dard tum ne diya hai, toh koi baat nahi Yehi bahot hai ke tum dekhte ho sahil se Safeena doob raha hai, toh koi baat nahi Rakha tha aashiyana-e-dil mein chupa ke tumko Woh ghar tumne chor diya hai toh…